Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ras aai usko meri wafa kam bahut hi kam

Nasim Rifat Gwaliori

ras aai usko meri wafa kam bahut hi kam

Nasim Rifat Gwaliori

MORE BYNasim Rifat Gwaliori

    raas aa.ī us ko merī vafā kam bahut kam

    is vāste hai us se gila kam bahut kam

    dil ibāratoñ ko ziyāda nahīñ paḌhā

    ham se ye kār-e-nek huā kam bahut kam

    vo peḌ jis ke saa.e mujh ko talāsh thī

    saaya milā to us milā kam bahut kam

    tārīkī-e-hayāt se laḌne chalā hai vo

    le kar charāġh dil meñ ziyā kam bahut kam

    is daur fazāoñ meñ gard-o-ġhubār ne

    chhoḌī hai ā.inoñ pe jilā kam bahut kam

    hotī thī jis diid se taskīn-e-dil mujhe

    vo shaḳhs ās-pās rahā kam bahut kam

    aksar 'nasīm' jis ke muqābil gayā huuñ maiñ

    qad merā us ke qad se lagā kam bahut kam

    ras aai us ko meri wafa kam bahut hi kam

    is waste hai us se gila kam bahut hi kam

    dil ki ibaraton ko ziyaada nahin paDha

    hum se ye kar-e-nek hua kam bahut hi kam

    wo peD jis ke sae ki mujh ko talash thi

    saya mila to us ka mila kam bahut hi kam

    tariki-e-hayat se laDne chala hai wo

    le kar charagh dil mein ziya kam bahut hi kam

    is daur ki fazaon mein gard-o-ghubar ne

    chhoDi hai aainon pe jila kam bahut hi kam

    hoti thi jis ki did se taskin-e-dil mujhe

    wo shaKHs aas-pas raha kam bahut hi kam

    aksar 'nasim' jis ke muqabil gaya hun main

    qad mera us ke qad se laga kam bahut hi kam

    Source:

    Ehsas Ke Phool (Pg. 50)

    • Author: Nasim Rifat Gwaliori
      • Publisher: Nasim Rifat Gwaliori
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now