rasta chhoDa hai sadiyon se kisi diwar ne
rāsta chhoḌā hai sadiyoñ se kisī dīvār ne
haañ mujhe āsāñ kiyā yaaro isī dushvār ne
is kamāne khāne meñ patthar hue jaate the ham
zindagī āsān kī ik pyaar ne ik pyaar ne
kashtiyoñ ko dosh denā nā-ḳhudā bekār hai
saath hī chhoḌā agar is be-vafā patvār ne
vo 'ayādat ko kabhī ā.eñge is ummīd par
jaañ nahīñ chhoḌī abhī yaaro kisī bīmār ne
mo'tabar yuuñ to baḌā hai tū zamāne meñ magar
bas tujhe rusvā kiyā 'rohit' tire āzār ne
rasta chhoDa hai sadiyon se kisi diwar ne
han mujhe aasan kiya yaro isi dushwar ne
is kamane khane mein patthar hue jate the hum
zindagi aasan ki ek pyar ne ek pyar ne
kashtiyon ko dosh dena na-KHuda bekar hai
sath hi chhoDa agar is be-wafa patwar ne
wo 'ayaadat ko kabhi aaenge is ummid par
jaan nahin chhoDi abhi yaro kisi bimar ne
mo'tabar yun to baDa hai tu zamane mein magar
bas tujhe ruswa kiya 'rohit' tere aazar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.