Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raste ki samt aksar dekhte rahte hain kyon

Yasmeen Hameed

raste ki samt aksar dekhte rahte hain kyon

Yasmeen Hameed

MORE BYYasmeen Hameed

    rāste samt aksar dekhte rahte haiñ kyoñ

    ḳhaak apne faisloñ chhānte rahte haiñ kyoñ

    kyoñ jalā rakhte haiñ ham apne tajassus diyā

    jis ko lete haiñ us ko DhūñDte rahte haiñ kyoñ

    ham mahak ke isti.āre ko badalte kyoñ nahīñ

    tohfa-e-ḳhushbū guloñ se māñgte rahte haiñ kyoñ

    tajraba ham toḌne kyoñ use karte nahīñ

    ranjishoñ ke dā.ere meñ ghūmte rahte haiñ kyoñ

    lauh-e-nā-hamvār par harf-e-vafā to likh diyā

    us bābat is qadar ab sochte rahte haiñ kyoñ

    raste ki samt aksar dekhte rahte hain kyon

    KHak apne faislon ki chhante rahte hain kyon

    kyon jala rakhte hain hum apne tajassus ka diya

    jis ko pa lete hain us ko DhunDte rahte hain kyon

    hum mahak ke istiare ko badalte kyon nahin

    tohfa-e-KHushbu gulon se mangte rahte hain kyon

    tajraba hum toDne ka kyon use karte nahin

    ranjishon ke daere mein ghumte rahte hain kyon

    lauh-e-na-hamwar par harf-e-wafa to likh diya

    us ki babat is qadar ab sochte rahte hain kyon

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now