Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raste par hai kai ki maKHmal

Mahmood Ishqi

raste par hai kai ki maKHmal

Mahmood Ishqi

MORE BYMahmood Ishqi

    rāste par hai kaa.ī maḳhmal

    paañv terā kahīñ na jaa.e phisal

    haat phailā.e ḳhushk peḌoñ ne

    dekh kar duur dūdhiyā bādal

    dil hai ḳhāmosh jhiil sūrat

    kañkarī pheñkiye ki ho halchal

    sarfaroshoñ ko hai talāsh us

    chhup ga.ī hai kahāñ pe ke ajal

    khol kar kaag soch meñ gum huuñ

    baḌbaḌātī hai mez par botal

    aap kis peḌ ko bachā.eñge

    jal rahā hai tamām jañgal

    pech-o-ḳham haiñ kahīñ na hariyālī

    ziist maidān tarah chaTyal

    raste par hai kai ki maKHmal

    panw tera kahin na jae phisal

    hat phailae KHushk peDon ne

    dekh kar dur dudhiya baadal

    dil hai KHamosh jhil ki surat

    kankari phenkiye ki ho halchal

    sarfaroshon ko hai talash us ki

    chhup gai hai kahan pe ja ke ajal

    khol kar kag soch mein gum hun

    baDbaDati hai mez par botal

    aap kis peD ko bachaenge

    jal raha hai tamam hi jangal

    pech-o-KHam hain kahin na hariyali

    zist maidan ki tarah chaTyal

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 488)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now