Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat be-parda si lagti hai mujhe

Shariq Kaifi

raat be-parda si lagti hai mujhe

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    raat be-parda lagtī hai mujhe

    ḳhauf ne aisī nazar hai mujhe

    aah is ma.asūm ko kaise batā.ūñ

    kyuuñ use khone jaldī hai mujhe

    josh meñ haiñ is qadar tīmārdār

    Thiik hote sharm aatī hai mujhe

    ik latīfa jo samajh meñ bhī na aa.e

    us pe hañsnā kyuuñ zarūrī hai mujhe

    muntashir hone lage saare ḳhayāl

    niiñd bas aane vaalī hai mujhe

    ab junūñ kam hone vaalā hai mirā

    ḳhair itnī to tasallī hai mujhe

    laakh maddham ho tirī chāhat lau

    raushnī utnī kaafī hai mujhe

    gard hai bārūd sar meñ to kyā

    maut ik afvāh lagtī hai mujhe

    raat be-parda si lagti hai mujhe

    KHauf ne aisi nazar di hai mujhe

    aah is masum ko kaise bataun

    kyun use khone ki jaldi hai mujhe

    josh mein hain is qadar timardar

    Thik hote sharm aati hai mujhe

    ek latifa jo samajh mein bhi na aae

    us pe hansna kyun zaruri hai mujhe

    muntashir hone lage sare KHayal

    nind bas aane hi wali hai mujhe

    ab junun kam hone wala hai mera

    KHair itni to tasalli hai mujhe

    lakh maddham ho teri chahat ki lau

    raushni utni hi kafi hai mujhe

    gard hai barud ki sar mein to kya

    maut ek afwah lagti hai mujhe

    Source:

    Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 57)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: 3rd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2022
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now