Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat-bhar fasl-e-bahaar aane ka saman hona

Aal-e-Raza Raza

raat-bhar fasl-e-bahaar aane ka saman hona

Aal-e-Raza Raza

MORE BYAal-e-Raza Raza

    rāt-bhar fasl-e-bahār aane sāmāñ honā

    sub.h pau phaTte hāthoñ meñ girebāñ honā

    tum mirā haal na dekho ki mileñgī nazreñ

    mujh se dekhā nahīñ jā.egā pashemāñ honā

    hijr aur ke bahal jaane koshish tauba

    mushkileñ aur baġhair aap ke āsāñ honā

    merī kashtī ko bahar-hāl hai maujoñ se lagāv

    ho jo har mauj ko hai shāmil-e-tūfāñ honā

    chheḌ zulm taujīh salāmat rahiye

    sharm aa.ī bhī to aaya na pashemāñ honā

    apne dil meñ khile phuul se kahtā hai 'razā'

    jahāñ hai use raas aa.e gulistāñ honā

    raat-bhar fasl-e-bahaar aane ka saman hona

    subh pau phaTte hi hathon mein gireban hona

    tum mera haal na dekho ki milengi nazren

    mujh se dekha nahin jaega pasheman hona

    hijr aur ji ke bahal jaane ki koshish tauba

    mushkilen aur baghair aap ke aasan hona

    meri kashti ko bahar-haal hai maujon se lagaw

    ho jo har mauj ko hai shamil-e-tufan hona

    chheD di zulm ki taujih salamat rahiye

    sharm aai bhi to aaya na pasheman hona

    apne hi dil mein khile phul se kahta hai 'raza'

    tu jahan hai use ras aae gulistan hona

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now