raat-din guzarti hai meri zindagi tanha
rāt-din guzartī hai merī zindagī tanhā
jaise sehn-e-gulshan meñ ho kahīñ kalī tanhā
pahle tere jalvoñ ke saath saath aatī thī
aa ga.ī mire lab par aaj kyuuñ hañsī tanhā
muuñd liiñ sitāroñ ne thak ke ḳhud-ba-ḳhud āñkheñ
chāñd kyuuñ luTātā hai apnī chāñdnī tanhā
aaj ek muddat par vo mujhe nazar aa.e
raah meñ mile jaise koī ajnabī tanhā
baT ga.ī zamāne meñ rāhat-o-ḳhushī 'shabnam'
aur merī qismat meñ rah ga.ī ġhamī tanhā
raat-din guzarti hai meri zindagi tanha
jaise sehn-e-gulshan mein ho kahin kali tanha
pahle tere jalwon ke sath sath aati thi
aa gai mere lab par aaj kyun hansi tanha
mund lin sitaron ne thak ke KHud-ba-KHud aankhen
chand kyun luTata hai apni chandni tanha
aaj ek muddat par wo mujhe nazar aae
rah mein mile jaise koi ajnabi tanha
baT gai zamane mein rahat-o-KHushi 'shabnam'
aur meri qismat mein rah gai ghami tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.