raat hai raqs-kunan ek ghazal ho jae
raat hai raqs-kunāñ ek ġhazal ho jaa.e
ai mirī tab'-e-ravāñ ek ġhazal ho jaa.e
nabz-e-kaunain dhaḌaktī hai har ik zarre meñ
vajd meñ haiñ dil-o-jāñ ek ġhazal ho jaa.e
jalva-e-yār se mā'mūr hai 'ālam kī fazā
ḳhūb-sūrat hai samāñ ek ġhazal ho jaa.e
kitnī yādeñ haiñ jo tanhā.ī meñ lau dene lagīñ
ai mire soz-e-nihāñ ek ġhazal ho jaa.e
barbat-e-dil pe hai mizrāb-e-zamāñ naġhma-fashāñ
dard hotā hai javāñ ek ġhazal ho jaa.e
baḳhshiye jazb-e-mohabbat ko suḳhan kā paikar
hāl-e-dil yuuñ ho bayāñ ek ġhazal ho jaa.e
jumbish-e-lab se hī iz.hār-e-tamannā kyoñ ho
ḳhāma ban jaa.e zabāñ ek ġhazal ho jaa.e
phir taqāza hai sar-e-bazm ġhazal pesh karūñ
ḳhātir-e-lāla-ruḳhāñ ek ġhazal ho jaa.e
shorish-e-vaqt ne ehsās ko majrūh kiyā
lamha lamha hai girāñ ek ġhazal ho jaa.e
tū shanāsā-e-haqīqat hai to andāz badal
tā-ba-kai vahm-o-gumāñ ek ġhazal ho jaa.e
kaif-e-nāqūs-o-azāñ bol uThe lafzoñ meñ
vird-e-haq ho ba-zabāñ ek ġhazal ho jaa.e
raat hai raqs-kunan ek ghazal ho jae
ai meri tab'-e-rawan ek ghazal ho jae
nabz-e-kaunain dhaDakti hai har ek zarre mein
wajd mein hain dil-o-jaan ek ghazal ho jae
jalwa-e-yar se ma'mur hai 'alam ki faza
KHub-surat hai saman ek ghazal ho jae
kitni yaaden hain jo tanhai mein lau dene lagin
ai mere soz-e-nihan ek ghazal ho jae
barbat-e-dil pe hai mizrab-e-zaman naghma-fashan
dard hota hai jawan ek ghazal ho jae
baKHshiye jazb-e-mohabbat ko suKHan ka paikar
haal-e-dil yun ho bayan ek ghazal ho jae
jumbish-e-lab se hi izhaar-e-tamanna kyon ho
KHama ban jae zaban ek ghazal ho jae
phir taqaza hai sar-e-bazm ghazal pesh karun
KHatir-e-lala-ruKHan ek ghazal ho jae
shorish-e-waqt ne ehsas ko majruh kiya
lamha lamha hai giran ek ghazal ho jae
tu shanasa-e-haqiqat hai to andaz badal
ta-ba-kai wahm-o-guman ek ghazal ho jae
kaif-e-naqus-o-azan bol uThe lafzon mein
wird-e-haq ho ba-zaban ek ghazal ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.