Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ek shahr ne taza kiye manzar apne

Irfan Siddiqi

raat ek shahr ne taza kiye manzar apne

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    raat ik shahr ne taaza kiye manzar apne

    niiñd āñkhoñ se uḌī khol ke shahpar apne

    tum sar-e-dasht-o-chaman mujh ko kahāñ DhūñDte ho

    maiñ to har rut meñ badal detā huuñ paikar apne

    yahī vīrāna bachā thā to ḳhudā ne āḳhir

    rakh diye dil meñ mire saat samundar apne

    roz vo shaḳhs sadā de ke palaT jaatā hai

    maiñ bhī rahtā huuñ bahut jism se bāhar apne

    kis qadar pās-e-muravvat hai vafādāroñ ko

    mere siine meñ chhupā rakkhe haiñ ḳhanjar apne

    koī sultān nahīñ mere sivā merā sharīk

    masnad-e-ḳhāk pe baiThā huuñ barābar apne

    raat ek shahr ne taza kiye manzar apne

    nind aankhon se uDi khol ke shahpar apne

    tum sar-e-dasht-o-chaman mujh ko kahan DhunDte ho

    main to har rut mein badal deta hun paikar apne

    yahi virana bacha tha to KHuda ne aaKHir

    rakh diye dil mein mere sat samundar apne

    roz wo shaKHs sada de ke palaT jata hai

    main bhi rahta hun bahut jism se bahar apne

    kis qadar pas-e-murawwat hai wafadaron ko

    mere sine mein chhupa rakkhe hain KHanjar apne

    koi sultan nahin mere siwa mera sharik

    masnad-e-KHak pe baiTha hun barabar apne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now