aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ka har ek manzar ranjishon se bojhal tha

Ghulam Mohammad Qasir

raat ka har ek manzar ranjishon se bojhal tha

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    raat har ik manzar ranjishoñ se bojhal thā

    chāñd bhī adhūrā thā maiñ bhī nā-mukammal thā

    aañkh muñDeroñ par aarzū nahīñ larzī

    ik charāġh lau se ik charāġh ojhal thā

    milā tire dar ke gum-shuda zamānoñ meñ

    merī umr hāsil pyaar jo ik pal thā

    kyuuñ sulagtī āvāzeñ bhiig bhiig jaatī thiiñ

    dasht-e-nā-rasā.ī meñ dhuup thī na bādal thā

    duur to na thā itnā ḳhema us ke ḳhvāboñ

    rāste meñ apnī ḳhvāhishoñ jañgal thā

    raat ka har ek manzar ranjishon se bojhal tha

    chand bhi adhura tha main bhi na-mukammal tha

    aankh ki munDeron par aarzu nahin larzi

    ek charagh ki lau se ek charagh ojhal tha

    ja mila tere dar ke gum-shuda zamanon mein

    meri umr ka hasil pyar ka jo ek pal tha

    kyun sulagti aawazen bhig bhig jati thin

    dasht-e-na-rasai mein dhup thi na baadal tha

    dur to na tha itna KHema us ke KHwabon ka

    raste mein apni hi KHwahishon ka jangal tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now