Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ka nam sawera hi sahi

Hafeez Banarasi

raat ka nam sawera hi sahi

Hafeez Banarasi

MORE BYHafeez Banarasi

    raat naam saverā sahī

    aap kahte haiñ to aisā sahī

    kyā burā.ī hai agar dekh leñ ham

    zindagī ek tamāshā sahī

    kuchh to kāñdhoñ pe liye haiñ ham log

    apne armānoñ lāsha sahī

    pīchhe haTnā hameñ manzūr nahīñ

    sāmne aag dariyā sahī

    kyā zarūrī hai ki maiñ naam bhī luuñ

    merā dushman koī apnā sahī

    aa.ina dekh ke Dar jaatā huuñ

    aa.ina merā shanāsā sahī

    merā qad aap se ūñchā hai bahut

    maiñ 'hafīz' aap saayā sahī

    raat ka nam sawera hi sahi

    aap kahte hain to aisa hi sahi

    kya burai hai agar dekh len hum

    zindagi ek tamasha hi sahi

    kuchh to kandhon pe liye hain hum log

    apne armanon ka lasha hi sahi

    pichhe haTna hamein manzur nahin

    samne aag ka dariya hi sahi

    kya zaruri hai ki main nam bhi lun

    mera dushman koi apna hi sahi

    aaina dekh ke Dar jata hun

    aaina mera shanasa hi sahi

    mera qad aap se uncha hai bahut

    main 'hafiz' aap ka saya hi sahi

    Source:

    Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 295)

    • Author: Hafeez Banarsi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Hafeez Banarsi
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now