Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ka sannaTa ho aur raaz-dan koi na ho

T N Raaz

raat ka sannaTa ho aur raaz-dan koi na ho

T N Raaz

MORE BYT N Raaz

    raat sannāTā ho aur rāz-dāñ koī na ho

    bīviyāñ tanhā ghūmeñ aur miyāñ koī na ho

    mamlikat ko fikr-e-ta.amīr-e-makāñ koī na ho

    hoñ paḌe fōtpath pe sab āshiyāñ koī na ho

    hai yahī meñ ki ham sab ḳhāna-jañgī meñ mareñ

    mulk pe miTne ḳhātir ḳhāndāñ koī na ho

    āpā-dhāpī fazā ho jo bhī chāhe luuT le

    rāhbar nā-bīnā hoñ sab pāsbāñ koī na ho

    aañkh se dekhā na jaa.e aql par parda paḌe

    vo kisī se bhī mileñ mujh ko gumāñ koī na ho

    jab huī ik laḌkī iġhvā shaiḳh ne bad-duā

    is galī lauñDā yā-rab ab javāñ koī na ho

    chāqū chhuriyāñ hall meñ laane ke ham qaa.il nahīñ

    hai yahī kaafī ki bas ab imtihāñ koī na ho

    rishvatoñ ḳhatm ho paa.e na koī silsila

    C B I DhūñDhtī ho par nishāñ koī na ho

    bak gayā hai 'rāz' kyā kyā dostoñ ke darmiyāñ

    be-hayā muñh-phaT aur aisā bad-zabāñ koī na ho

    raat ka sannaTa ho aur raaz-dan koi na ho

    biwiyan tanha hi ghumen aur miyan koi na ho

    mamlikat ko fikr-e-tamir-e-makan koi na ho

    hon paDe footpath pe sab aashiyan koi na ho

    hai yahi ji mein ki hum sab KHana-jangi mein maren

    mulk pe miTne ki KHatir KHandan koi na ho

    aapa-dhapi ki faza ho jo bhi chahe luT le

    rahbar na-bina hon sab pasban koi na ho

    aankh se dekha na jae aql par parda paDe

    wo kisi se bhi milen mujh ko guman koi na ho

    jab hui ek laDki ighwa shaiKH ne di bad-dua

    is gali ka launDa ya-rab ab jawan koi na ho

    chaqu chhuriyan hall mein lane ke hum qail nahin

    hai yahi kafi ki bas ab imtihan koi na ho

    rishwaton ka KHatm ho pae na koi silsila

    C B I DhunDhti ho par nishan koi na ho

    bak gaya hai 'raaz' kya kya doston ke darmiyan

    be-haya munh-phaT aur aisa bad-zaban koi na ho

    Source:

    Durgat (Pg. 63)

    • Author: T N Raaz
      • Publisher: T N Raaz
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now