aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ke samundar mein gham ki naw chalti hai

Wamiq Jaunpuri

raat ke samundar mein gham ki naw chalti hai

Wamiq Jaunpuri

MORE BYWamiq Jaunpuri

    raat ke samundar meñ ġham naav chaltī hai

    din ke garm sāhil par zinda laash jaltī hai

    ik khilaunā hai giitī toḌ toḌ ke jis ko

    bachchoñ tarah duniyā rotī hai machaltī hai

    fikr o fan shahzādī kis balā hai nāgin

    shab meñ ḳhuun piitī hai din meñ zahr ugaltī hai

    zindagī haisiyyat buuñd jaise paanī

    nāchtī hai sholoñ par chashm-e-nam meñ jaltī hai

    bhūke peT Daa.in sotī nahīñ ik pal

    din meñ dhuup khātī hai shab meñ ke chaltī hai

    pattiyoñ taalī par jaag uThe chaman vaale

    aur pattī pattī ab baiThī haath maltī hai

    ghup añdherī rāhoñ par mash.al-e-husām-e-zar

    hai lahū meñ aisī tar bujhtī hai na jaltī hai

    inqilāb-e-daurāñ se kuchh to kahtī hogī

    tez rail-gāḌī jab paTriyāñ badaltī hai

    tishnagī tafsīreñ misl-e-sham.a haiñ 'vāmiq'

    jo zabān khultī hai us se lau nikaltī hai

    raat ke samundar mein gham ki naw chalti hai

    din ke garm sahil par zinda lash jalti hai

    ek khilauna hai giti toD toD ke jis ko

    bachchon ki tarah duniya roti hai machalti hai

    fikr o fan ki shahzadi kis bala ki hai nagin

    shab mein KHun piti hai din mein zahr ugalti hai

    zindagi ki haisiyyat bund jaise pani ki

    nachti hai sholon par chashm-e-nam mein jalti hai

    bhuke peT ki Dain soti hi nahin ek pal

    din mein dhup khati hai shab mein pi ke chalti hai

    pattiyon ki tali par jag uThe chaman wale

    aur patti patti ab baiThi hath malti hai

    ghup andheri rahon par mashal-e-husam-e-zar

    hai lahu mein aisi tar bujhti hai na jalti hai

    inqilab-e-dauran se kuchh to kahti hi hogi

    tez rail-gaDi jab paTriyan badalti hai

    tishnagi ki tafsiren misl-e-shama hain 'wamiq'

    jo zaban khulti hai us se lau nikalti hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    raat ke samundar mein gham ki naw chalti hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now