Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ki aankh mein mere liye kuchh KHwab bhi the

Mansoor Ahmad

raat ki aankh mein mere liye kuchh KHwab bhi the

Mansoor Ahmad

MORE BYMansoor Ahmad

    Interesting Fact

    'Funoon' Lahore ( March-1982)

    raat aañkh meñ mere liye kuchh ḳhvāb bhī the

    ye alag baat ki har ḳhvāb meñ girdāb bhī the

    zindagī bāñjh aurat thī ki jis ke dil meñ

    buuñd pyaas bhī thī aañkh meñ sailāb bhī the

    zaḳhm kyuuñ risne lage ik tire chhū lene se

    dukh samundar the magar mauja-e-pāyāb bhī the

    chāñd kirnoñ meñ aahaT tire qadmoñ sunī

    aur phir chāñd ke Dhal jaane ko betāb bhī the

    tujh se jo lamha milā lamha-e-mashrūt milā

    vasl sā.atoñ meñ hijr ke ādāb bhī the

    azhdahā pāniyoñ shahr-e-navā TuuT gayā

    mātamī aañkh meñ aañsū mire be-āb bhī the

    kitnā ābād mire saath thā sāyoñ hujūm

    kaise tanhā.ī ke sahrā the jo shādāb bhī the

    raat ki aankh mein mere liye kuchh KHwab bhi the

    ye alag baat ki har KHwab mein girdab bhi the

    zindagi banjh si aurat thi ki jis ke dil mein

    bund ki pyas bhi thi aankh mein sailab bhi the

    zaKHm kyun risne lage ek tere chhu lene se

    dukh samundar the magar mauja-e-payab bhi the

    chand ki kirnon mein aahaT tere qadmon ki suni

    aur phir chand ke Dhal jaane ko betab bhi the

    tujh se jo lamha mila lamha-e-mashrut mila

    wasl ki saaton mein hijr ke aadab bhi the

    azhdaha paniyon ka shahr-e-nawa TuT gaya

    matami aankh mein aansu mere be-ab bhi the

    kitna aabaad mere sath tha sayon ka hujum

    kaise tanhai ke sahra the jo shadab bhi the

    Source:

    Muntakhab Gazle.n (Pg. 163)

    • Author: Nasir Zaidi
      • Edition: 1983
      • Publisher: Zahid Malik
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now