Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat kitni bojhal hai kis qadar andhera hai

Safdar Meer

raat kitni bojhal hai kis qadar andhera hai

Safdar Meer

MORE BYSafdar Meer

    raat kitnī bojhal hai kis qadar añdherā hai

    dil gavāhī detā hai paas saverā hai

    ek shah pe bach jaa.e shah pe shah chalī aa.e

    maut ke khilāḌī ko zindagī ne gherā hai

    nāsehoñ ehsāñ hai aap mujh ko samjhāte

    jis galī meñ chhoḌ aa.e us galī pherā hai

    kā.enāt ke dil meñ raqs-e-sad-e-bahārāñ bhī

    kā.enāt ke dil meñ yaar bhī Derā hai

    raat kitni bojhal hai kis qadar andhera hai

    dil gawahi deta hai pas hi sawera hai

    ek shah pe bach jae shah pe shah chali aae

    maut ke khilaDi ko zindagi ne ghera hai

    nasehon ka ehsan hai aap mujh ko samjhate

    jis gali mein chhoD aae us gali ka phera hai

    kaenat ke dil mein raqs-e-sad-e-bahaaran bhi

    kaenat ke dil mein yar ka bhi Dera hai

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 352)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now