Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat lambi thi sitara mera tajil mein tha

Nomaan Shauque

raat lambi thi sitara mera tajil mein tha

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    raat lambī thī sitāra mirā tājīl meñ thā

    jis ko jalnā nahīñ aayā vahī qindīl meñ thā

    ik jahāñ aur pas-e-kār-e-jahāñ thā baaqī

    ik badan aur mire ishq takmīl meñ thā

    phir siyāhī ne sameTā mirā sāmān aa kar

    kul asāsa mirā ik shaam zambīl meñ thā

    ek larza thā sitāroñ ke badan par taarī

    maiñ to Duubā huā ik husn tafsīl meñ thā

    ab to har chehra use zard dikhā.ī degā

    der tak ā.īna bīmār tahvīl meñ thā

    jo milā vo baḌī ujlat meñ milā thā mujh se

    aur maiñ goyā hamesha se tātīl meñ thā

    raat lambi thi sitara mera tajil mein tha

    jis ko jalna nahin aaya wahi qindil mein tha

    ek jahan aur pas-e-kar-e-jahan tha baqi

    ek badan aur mere ishq ki takmil mein tha

    phir siyahi ne sameTa mera saman aa kar

    kul asasa mera ek sham ki zambil mein tha

    ek larza tha sitaron ke badan par tari

    main to Duba hua ek husn ki tafsil mein tha

    ab to har chehra use zard dikhai dega

    der tak aaina bimar ki tahwil mein tha

    jo mila wo baDi ujlat mein mila tha mujh se

    aur main goya hamesha se hi tatil mein tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    raat lambi thi sitara mera tajil mein tha Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now