Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raaten wo dil-fareb bahaaren wo KHwab ki

Zabt Sitapuri

raaten wo dil-fareb bahaaren wo KHwab ki

Zabt Sitapuri

MORE BYZabt Sitapuri

    rāteñ vo dil-fareb bahāreñ vo ḳhvāb

    piirī meñ yaad aa.ī haiñ bāteñ shabāb

    rindoñ bazm aur burā.ī sharāb

    vaa.iz ne apnī aap miTTī ḳharāb

    yuuñ dhajjiyāñ uḌā.īñ nazar ne naqāb

    tanvīr chhan rahī hai ruḳh-e-pur-hijāb

    shabnam dikhā rahī hai jhalak inqalāb

    maujeñ sunā rahī haiñ kahānī habāb

    ġhunchoñ ko gudgudā ke jagāyā nasīm ne

    phūloñ se kheltī hai kiran āftāb

    pīr-e-muġhāñ ke zarf pe harf aa rahā hai aaj

    ḳhālī dikhā rahā hai surāhī shabāb

    dil lagāo dil se nazar nazar se hai

    hājat savāl na zarūrat javāb

    apnā tarīq 'zabt' zamāne se hai judā

    fikr-e-azāb hai na tamanna savāb

    raaten wo dil-fareb bahaaren wo KHwab ki

    piri mein yaad aai hain baaten shabab ki

    rindon ki bazm aur burai sharab ki

    waiz ne apni aap hi miTTi KHarab ki

    yun dhajjiyan uDain nazar ne naqab ki

    tanwir chhan rahi hai ruKH-e-pur-hijab ki

    shabnam dikha rahi hai jhalak inqalab ki

    maujen suna rahi hain kahani habab ki

    ghunchon ko gudguda ke jagaya nasim ne

    phulon se khelti hai kiran aaftab ki

    pir-e-mughan ke zarf pe harf aa raha hai aaj

    KHali dikha raha hai surahi shabab ki

    dil ka lagao dil se nazar ka nazar se hai

    hajat sawal ki na zarurat jawab ki

    apna tariq 'zabt' zamane se hai juda

    fikr-e-azab hai na tamanna sawab ki

    Source:

    Nawa-e-Zabt (Pg. 100)

    • Author: Zabt Sitapuri
      • Publisher: Zabt Sitapuri
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now