raaton ke musafir ho andheron mein rahoge
rātoñ ke musāfir ho añdheroñ meñ rahoge
jugnū kī tarah din meñ jaloge na bujhoge
sab log ye kahte haiñ ki tum lauT ga.e ho
tum saath the tum saath ho tum saath rahoge
kyā an-kahī ġhazloñ kī kitābeñ haiñ vo āñkheñ
jab paḌh nahīñ sakte ho to kyā ḳhaak likhoge
ḳhushbū kī havelī hai mire dil kī zamīñ par
va.ada karo ik roz mire saath chaloge
dillī ho ki lahore koī farq nahīñ hai
sach bol ke har shahr meñ aise hī rahoge
raaton ke musafir ho andheron mein rahoge
jugnu ki tarah din mein jaloge na bujhoge
sab log ye kahte hain ki tum lauT gae ho
tum sath the tum sath ho tum sath rahoge
kya an-kahi ghazlon ki kitaben hain wo aankhen
jab paDh nahin sakte ho to kya KHak likhoge
KHushbu ki haweli hai mere dil ki zamin par
wada karo ek roz mere sath chaloge
dilli ho ki lahore koi farq nahin hai
sach bol ke har shahr mein aise hi rahoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.