Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raaton ko tasawwur hai un ka aur chupke chupke rona hai

Saghar Nizami

raaton ko tasawwur hai un ka aur chupke chupke rona hai

Saghar Nizami

MORE BYSaghar Nizami

    rātoñ ko tasavvur hai un aur chupke chupke ronā hai

    ai sub.h ke taare batā anjām mirā kyā honā hai

    in nau-ras āñkhoñ vāloñ kyā hañsnā hai kyā ronā hai

    barse hue sachche motī haiñ bahtā huā ḳhālis sonā hai

    dil ko khoyā ḳhud bhī kho.e duniyā khoī diin bhī khoyā

    ye gum-shudagī hai to ik din ai dost tujhe bhī khonā hai

    tam.īz-e-kamāl-o-naqs uThā ye to raushan hai duniyā par

    maiñ chandan huuñ kundan hai maiñ miTTī huuñ sonā hai

    ye na samajh lillāh ki hai taskīn tire dīvānoñ ko

    vahshat meñ hamārā hañs paḌnā dar-asl hamārā ronā hai

    mātam hai mirī āvāz shikast-e-sāz-e-dil-e-sad-pāra

    'saġhar' merā naġhma bhī dīpak ke suroñ meñ ronā hai

    raaton ko tasawwur hai un ka aur chupke chupke rona hai

    ai subh ke tare tu hi bata anjam mera kya hona hai

    in nau-ras aankhon walon ka kya hansna hai kya rona hai

    barse hue sachche moti hain bahta hua KHalis sona hai

    dil ko khoya KHud bhi khoe duniya khoi din bhi khoya

    ye gum-shudagi hai to ek din ai dost tujhe bhi khona hai

    tamiz-e-kamal-o-naqs uTha ye to raushan hai duniya par

    main chandan hun tu kundan hai main miTTi hun tu sona hai

    tu ye na samajh lillah ki hai taskin tere diwanon ko

    wahshat mein hamara hans paDna dar-asl hamara rona hai

    matam hai meri aawaz shikast-e-saz-e-dil-e-sad-para ka

    'saghar' mera naghma bhi dipak ke suron mein rona hai

    Source:

    Range-e-Gazal (Pg. 541)

    • Author: shahzaad ahmad
      • Edition: 1988
      • Publisher: Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now