raaton ko uTh uTh ke rona band karo
rātoñ ko uTh uTh ke ronā band karo
'āshiq ho dīvāne honā band karo
sach kahtā huuñ rāteñ achchhī guzreñgī
tum bhī us ko soch ke sonā band karo
TuuTe ghar meñ koī na aanā chāhegā
is dil kā ab konā konā band karo
biit chukī jo us ko soche jaate ho
aaj ke is lamhe ko khonā band karo
hāl-e-dil logoñ ko apnā batlā ke
sab ke dil meñ kāñTe bonā band karo
'arz' tumheñ jin logoñ ne Thukrāyā hai
tum bhī un logoñ kā honā band karo
raaton ko uTh uTh ke rona band karo
'ashiq ho diwane hona band karo
sach kahta hun raaten achchhi guzrengi
tum bhi us ko soch ke sona band karo
TuTe ghar mein koi na aana chahega
is dil ka ab kona kona band karo
bit chuki jo us ko soche jate ho
aaj ke is lamhe ko khona band karo
haal-e-dil logon ko apna batla ke
sab ke dil mein kanTe bona band karo
'arz' tumhein jin logon ne Thukraya hai
tum bhi un logon ka hona band karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.