Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raaz-e-dil un par na ifsha kijiye

Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi

raaz-e-dil un par na ifsha kijiye

Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi

MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi

    rāz-e-dil un par na ifshā kījiye

    ārzūoñ ko na rusvā kījiye

    ashk-e-sozāñ ko na chheḌā kījiye

    aag paanī se na khelā kījiye

    zer-e-ḳhanjar bhī na taḌpā kījiye

    āfatoñ meñ muskurāyā kījiye

    chupke chupke ḳhuub royā kījiye

    yuuñ lagī dil bujhāyā kījiye

    aap ulfat meñ sab kuchh kho chuke

    ab kahāñ aañsū ki royā kījiye

    lazzat-e-dard-e-nihāñ mil jaa.e gar

    umr bhar phir aap taḌpā kījiye

    phir kahāñ ye lazzat-e-soz-e-nihāñ

    zaḳhm-e-dil kyoñ mudāvā kījiye

    aarzū jab koī baaqī na ho

    kyoñ kisī phir tamanna kījiye

    ishq rusvā ai 'zakī' gar ho to ho

    husn ko lekin na rusvā kījiye

    raaz-e-dil un par na ifsha kijiye

    aarzuon ko na ruswa kijiye

    ashk-e-sozan ko na chheDa kijiye

    aag pani se na khela kijiye

    zer-e-KHanjar bhi na taDpa kijiye

    aafaton mein muskuraya kijiye

    chupke chupke KHub roya kijiye

    yun lagi dil ki bujhaya kijiye

    aap ki ulfat mein sab kuchh kho chuke

    ab kahan aansu ki roya kijiye

    lazzat-e-dard-e-nihan mil jae gar

    umr bhar phir aap taDpa kijiye

    phir kahan ye lazzat-e-soz-e-nihan

    zaKHm-e-dil ka kyon mudawa kijiye

    aarzu hi jab koi baqi na ho

    kyon kisi ki phir tamanna kijiye

    ishq ruswa ai 'zaki' gar ho to ho

    husn ko lekin na ruswa kijiye

    Source:

    Aaina-e-Ayyam (Pg. 12)

    • Author: Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
      • Publisher: Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now