Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raaz-e-gham ifsha karun ya raaz rakkhun raaz mein

Uma Shankar Shadan Gwaliori

raaz-e-gham ifsha karun ya raaz rakkhun raaz mein

Uma Shankar Shadan Gwaliori

MORE BYUma Shankar Shadan Gwaliori

    rāz-e-ġham ifshā karūñ raaz rakkhūñ raaz meñ

    hukm ho to kuchh sunā.ūñ aap āvāz meñ

    tum ne hañs kar farq Daalā hai ye soz-o-sāz meñ

    varna donoñ naġhma-zan the ek āvāz meñ

    jab ye samjhā ġham har anjām ik āġhāz hai

    maiñ ne ḳhud anjām shāmil kar liyā āġhāz meñ

    maiñ to achchhā huuñ magar ai chārāgar ye to batā

    farq kyoñ mahsūs kartā huuñ tirī āvāz meñ

    ho chukī tarkīb-e-nāqūs-o-azāñ nā-kāmyāb

    sochtā huuñ ab pukārūñ kaunsī āvāz meñ

    aap se jab aap ke 'shādāñ' ko nisbat nahīñ

    rabt kaisā hai ye us aap āvāz meñ

    raaz-e-gham ifsha karun ya raaz rakkhun raaz mein

    hukm ho to kuchh sunaun aap ki aawaz mein

    tum ne hans kar farq Dala hai ye soz-o-saz mein

    warna donon naghma-zan the ek hi aawaz mein

    jab ye samjha gham ka har anjam ek aaghaz hai

    main ne KHud anjam shamil kar liya aaghaz mein

    main to achchha hun magar ai chaaragar ye to bata

    farq kyon mahsus karta hun teri aawaz mein

    ho chuki tarkib-e-naqus-o-azan na-kaamyab

    sochta hun ab pukarun kaunsi aawaz mein

    aap se jab aap ke 'shadan' ko nisbat hi nahin

    rabt kaisa hai ye us ki aap ki aawaz mein

    Source:

    (Pg. 17)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now