Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raaz-e-gham kyunkar chhapaun dil mein gham ka josh hai

Wali Kakoravi

raaz-e-gham kyunkar chhapaun dil mein gham ka josh hai

Wali Kakoravi

MORE BYWali Kakoravi

    rāz-e-ġham kyūñkar chhapā.ūñ dil meñ ġham josh hai

    qatra-qatra ashk-e-ḳhūñ nāla-e-ḳhāmosh hai

    jalva-e-zebā-e-sāqī sad-chaman bar-dosh hai

    sāġhar-e-mai lāla-sāmāñ hai subū gul-posh hai

    vasl shab se tamannāoñ dil meñ josh hai

    ranj bhī hai aish-sāmāñ ġham bhī ishrat-kosh hai

    anjuman-ārā-e-ālam haiñ majāzī sūrateñ

    jalva-e-husn-e-haqīqat aaj tak rū-posh hai

    chashm-e-maigūñ ne bharī mahfil ko be-ḳhud kar diyā

    kaun le ab jām-e-sahbā kis ko itnā hosh hai

    ḳhud nigāh-e-shauq hai josh-e-mohabbat subūt

    parda-dār-e-rāz go apnā lab-e-ḳhāmosh hai

    kis ne aate bharī mahfil meñ ulTī hai naqāb

    har dar-o-dīvār goyā ā.ina-bar-dosh hai

    ik tilism-e-rāz hai saaqī chashm-e-sehr-sāz

    ahl-e-dil ko be-ḳhudī ahl-e-havas ko hosh hai

    kis qadar dilkash hai ye kaif-e-mohabbat samāñ

    ishq bhī sarshār hai aur husn bhī mad.hosh hai

    kyā ḳhabar āñkhoñ ne kyā dekhā harīm-e-nāz meñ

    ek bijlī kauñd jaatī thī bas itnā hosh hai

    tār-e-dāman ko mire nāseh hiqārat se na dekh

    ahd-e-vahshat yahī afsāna-e-ḳhāmosh hai

    khol de ai chashm-e-maigūñ ahl-e-mahfil bharam

    kis ko kitnī be-ḳhudī hai kis ko kitnā hosh hai

    ek muddat par huā hai aaj un sāmnā

    aañkh sab kuchh kah rahī hai go zabāñ ḳhāmosh hai

    rāt-bhar jis ke liye rahtī thiiñ nīñdeñ be-qarār

    ab vahī jān-e-tamannā zīnat-e-āġhosh hai

    mai sarmastī tire sheroñ meñ paatā huuñ 'valī'

    magar shaidā-e-rang-e-'ġhālib'-e-mai-nosh hai

    raaz-e-gham kyunkar chhapaun dil mein gham ka josh hai

    qatra-qatra ashk-e-KHun ka nala-e-KHamosh hai

    jalwa-e-zeba-e-saqi sad-chaman bar-dosh hai

    saghar-e-mai lala-saman hai subu gul-posh hai

    wasl ki shab se tamannaon ka dil mein josh hai

    ranj bhi hai aish-saman gham bhi ishrat-kosh hai

    anjuman-ara-e-alam hain majazi suraten

    jalwa-e-husn-e-haqiqat aaj tak ru-posh hai

    chashm-e-maigun ne bhari mahfil ko be-KHud kar diya

    kaun le ab jam-e-sahba kis ko itna hosh hai

    KHud nigah-e-shauq hai josh-e-mohabbat ka subut

    parda-dar-e-raaz go apna lab-e-KHamosh hai

    kis ne aate hi bhari mahfil mein ulTi hai naqab

    har dar-o-diwar goya aaina-bar-dosh hai

    ek tilism-e-raaz hai saqi ki chashm-e-sehr-saz

    ahl-e-dil ko be-KHudi ahl-e-hawas ko hosh hai

    kis qadar dilkash hai ye kaif-e-mohabbat ka saman

    ishq bhi sarshaar hai aur husn bhi madhosh hai

    kya KHabar aankhon ne kya dekha harim-e-naz mein

    ek bijli kaund jati thi bas itna hosh hai

    tar-e-daman ko mere naseh hiqarat se na dekh

    ahd-e-wahshat ka yahi afsana-e-KHamosh hai

    khol de ai chashm-e-maigun ahl-e-mahfil ka bharam

    kis ko kitni be-KHudi hai kis ko kitna hosh hai

    ek muddat par hua hai aaj un ka samna

    aankh sab kuchh kah rahi hai go zaban KHamosh hai

    raat-bhar jis ke liye rahti thin ninden be-qarar

    ab wahi jaan-e-tamanna zinat-e-aghosh hai

    mai ki sarmasti tere sheron mein pata hun 'wali'

    tu magar shaida-e-rang-e-'ghaalib'-e-mai-nosh hai

    Source:

    Barq-o-Shafaq (Pg. 49)

    • Author: Wali Kakoravi
      • Publisher: Maktaba-e-Rahman
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now