Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rabt-e-pinhan ki sadaqat hai na milna tera

Ravish Siddiqi

rabt-e-pinhan ki sadaqat hai na milna tera

Ravish Siddiqi

MORE BYRavish Siddiqi

    rabt-e-pinhāñ sadāqat hai na milnā terā

    tere milne sūrat hai na milnā terā

    kyuuñ mirā shauq-e-farāvāñ hai ba-har lamha fuzūñ

    kyā koī rāz-e-mashiyyat hai na milnā terā

    lāla-o-gul mah-o-anjum se gila hai kyā kyā

    aur maqsūd-e-shikāyat hai na milnā terā

    kisī sūrat kisī unvāñ se talāfī na huī

    kis qadar talḳh haqīqat hai na milnā terā

    zindagī ne tire milne bahāna samjhā

    varna dar-asl qayāmat hai na milnā terā

    phir bhī tere liye āvāra-e-ġhurbat hai 'ravish'

    garche shāyān-e-mohabbat hai na milnā terā

    rabt-e-pinhan ki sadaqat hai na milna tera

    tere milne hi ki surat hai na milna tera

    kyun mera shauq-e-farawan hai ba-har lamha fuzun

    kya koi raaz-e-mashiyyat hai na milna tera

    lala-o-gul mah-o-anjum se gila hai kya kya

    aur maqsud-e-shikayat hai na milna tera

    kisi surat kisi unwan se talafi na hui

    kis qadar talKH haqiqat hai na milna tera

    zindagi ne tere milne ka bahana samjha

    warna dar-asl qayamat hai na milna tera

    phir bhi tere liye aawara-e-ghurbat hai 'rawish'

    garche shayan-e-mohabbat hai na milna tera

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 110)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now