Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rabt kis se tha kise kis ka shanasa kaun tha

Khalid Ahmad

rabt kis se tha kise kis ka shanasa kaun tha

Khalid Ahmad

MORE BYKhalid Ahmad

    rabt kis se thā kise kis shanāsā kaun thā

    shahr bhar tanhā thā lekin mujh tanhā kaun thā

    maiñ samundar thā magar vīrāñ thā sahrā tarah

    mere ghar tak chal ke aatā itnā pyāsā kaun thā

    reza-e-sañg-e-anā thā raah koh-e-girāñ

    baḌh ke lag jaatā mire siine se aisā kaun thā

    sat.h par ḳhāmoshiyoñ guuñj hai nauha-kunāñ

    apnī gahrā.ī ke dariyā meñ jo Duubā kaun thā

    zaat āḳhir zaat thī shahkār phir shahkār thī

    kis ke fan ke vāste se kis ko samjhā kaun thā

    paañv dhartī par the lekin zehn the ākāsh par

    sab ke sab merī tarah bikhre the yakjā kaun thā

    kuchh bure the kuchh bhale the ḳhaar kuchh gulzār kuchh

    har koī insān thā āḳhir farishta kaun thā

    vo bhaḌak uTThā to 'ḳhālid' sochtā rah gayā

    ḳhūb-rū paikar ke andar tund-ḳhū kaun thā

    rabt kis se tha kise kis ka shanasa kaun tha

    shahr bhar tanha tha lekin mujh sa tanha kaun tha

    main samundar tha magar viran tha sahra ki tarah

    mere ghar tak chal ke aata itna pyasa kaun tha

    reza-e-sang-e-ana tha rah ka koh-e-giran

    baDh ke lag jata mere sine se aisa kaun tha

    sath par KHamoshiyon ki gunj hai nauha-kunan

    apni gahrai ke dariya mein jo Duba kaun tha

    zat aaKHir zat thi shahkar phir shahkar thi

    kis ke fan ke waste se kis ko samjha kaun tha

    panw dharti par the lekin zehn the aakash par

    sab ke sab meri tarah bikhre the yakja kaun tha

    kuchh bure the kuchh bhale the KHar kuchh gulzar kuchh

    har koi insan tha aaKHir farishta kaun tha

    wo bhaDak uTTha to 'KHalid' sochta hi rah gaya

    KHub-ru paikar ke andar tund-KHu sa kaun tha

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Khalid Ahmad

    Khalid Ahmad

    Source:

    Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now