aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rachi dimagh mein ho jis ke us badan ki bu

Hakeem Aagha Jan Aish

rachi dimagh mein ho jis ke us badan ki bu

Hakeem Aagha Jan Aish

MORE BYHakeem Aagha Jan Aish

    rachī dimāġh meñ ho jis ke us badan

    ḳhush aave kab use nasrīn-o-nastaran

    vo jis ne sūñghī ho ik daf.a us ke tan

    na itr use bhāve na yāsman

    hazār jaan se mushk-e-ḳhutan ho halqa-ba-gosh

    jo sūñgh le kabhī us zulf-e-pur-shikan

    basā ho dil meñ bhalā jis ke vo gul-e-ḳhūbī

    pasand aa.e use kis tarah chaman

    mashām-e-jāñ huī yāqūb vahīñ taaza

    jo pahuñchī misr se yūsuf ke pairahan

    kahāñ hai seb meñ seb-e-zaqan bū-bās

    jahāñ meñ rūh-fazā hai to hai zaqan

    mashām-e-jāñ ko tar-o-tāza 'aish' kartī hai

    jahāñ ke baaġh meñ guldasta-e-suḳhan

    rachi dimagh mein ho jis ke us badan ki bu

    KHush aawe kab use nasrin-o-nastaran ki bu

    wo jis ne sunghi ho ek dafa us ke tan ki bu

    na itr ki use bhawe na yasman ki bu

    hazar jaan se mushk-e-KHutan ho halqa-ba-gosh

    jo sungh le kabhi us zulf-e-pur-shikan ki bu

    basa ho dil mein bhala jis ke wo gul-e-KHubi

    pasand aae use kis tarah chaman ki bu

    masham-e-jaan hui yaqub ki wahin taza

    jo pahunchi misr se yusuf ke pairahan ki bu

    kahan hai seb mein seb-e-zaqan ki si bu-bas

    jahan mein ruh-faza hai to hai zaqan ki bu

    masham-e-jaan ko tar-o-taza 'aish' karti hai

    jahan ke bagh mein guldasta-e-suKHan ki bu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now