Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rafiq dost muhib mujhko shaq sab hi the

Aslam Haneef

rafiq dost muhib mujhko shaq sab hi the

Aslam Haneef

MORE BYAslam Haneef

    rafīq dost muhib mujh ko shaaq sab the

    agarche kahne ko ye ham-mazāq sab the

    maiñ imtihān copy ko saada chhoḌ aayā

    dimāġh meñ to siyāq-o-sabāq sab the

    tamām raat rahā dil meñ habs manzar

    khule hue to dar-e-ishtiyāq sab the

    usī mahal se thī vābasta shahr azmat

    shikasta yuuñ to dar-o-bām-o-tāq sab the

    hamārā gaañv fasādoñ zad se duur rahā

    agarche log sharārat meñ taaq sab the

    rafiq dost muhib mujh ko shaq sab hi the

    agarche kahne ko ye ham-mazaq sab hi the

    main imtihan ki copy ko sada chhoD aaya

    dimagh mein to siyaq-o-sabaq sab hi the

    tamam raat raha dil mein habs ka manzar

    khule hue to dar-e-ishtiyaq sab hi the

    usi mahal se thi wabasta shahr ki azmat

    shikasta yun to dar-o-baam-o-taq sab hi the

    hamara ganw fasadon ki zad se dur raha

    agarche log shararat mein taq sab hi the

    Source:

    Aiwan (Pg. 17)

    • Author: Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
      • Edition: 1998
      • Publisher: Nirali Duniya
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now