Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-e-ishq mein gham-e-zindagi ki bhi zindagi safari rahi

Ganesh Bihari Tarz

rah-e-ishq mein gham-e-zindagi ki bhi zindagi safari rahi

Ganesh Bihari Tarz

MORE BYGanesh Bihari Tarz

    rah-e-ishq meñ ġham-e-zindagī bhī zindagī safarī rahī

    kabhī nazr-e-ḳhāk-e-safar rahī kabhī motiyoñ se bharī rahī

    tirī ik nigāh se sāqiyā vo bahār-e-be-ḳhabarī rahī

    gul-e-tar vahī gul-e-tar rahā vahī Daal Daal harī rahī

    tirī be-ruḳhī nigāh thī ki jo har ḳhatā se barī rahī

    mirī aarzū sharāb thī ki jo jaam jaam bharī rahī

    dam-e-marg bhī mirī hasrateñ had-e-ārzū se na baḌh sakīñ

    usī kaale dev qaid meñ mire bachpane parī rahī

    dil-e-ġham-zada pe guzar gayā hai vo hādsa ki mire liye

    na to ġham rahā na ḳhushī rahī na junūñ rahā na parī rahī

    vahī 'tarz' tujh pe rahīm hai ye usī faiz-e-karīm hai

    ki asātiza ke bhī rañg meñ jo ġhazal kahī vo kharī rahī

    rah-e-ishq mein gham-e-zindagi ki bhi zindagi safari rahi

    kabhi nazr-e-KHak-e-safar rahi kabhi motiyon se bhari rahi

    teri ek nigah se saqiya wo bahaar-e-be-KHabari rahi

    gul-e-tar wahi gul-e-tar raha wahi Dal Dal hari rahi

    teri be-ruKHi ki nigah thi ki jo har KHata se bari rahi

    meri aarzu ki sharab thi ki jo jam jam bhari rahi

    dam-e-marg bhi meri hasraten had-e-arzu se na baDh sakin

    usi kale dew ki qaid mein mere bachpane ki pari rahi

    dil-e-gham-zada pe guzar gaya hai wo hadsa ki mere liye

    na to gham raha na KHushi rahi na junun raha na pari rahi

    wahi 'tarz' tujh pe rahim hai ye usi ka faiz-e-karim hai

    ki asatiza ke bhi rang mein jo ghazal kahi wo khari rahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now