Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-e-junun mein KHuda ka hawala kya karta

Nasir Kazmi

rah-e-junun mein KHuda ka hawala kya karta

Nasir Kazmi

MORE BYNasir Kazmi

    rah-e-junūñ meñ ḳhudā havāla kyā kartā

    ye ḳhizr ranj-e-safar izāla kyā kartā

    guzārnī thī tire hijr pahāḌ raat

    maiñ tār-e-resham-o-zar do-shāla kyā kartā

    na shaġhl-e-ḳhārā-tarāshī na kārobār-e-junūñ

    maiñ koh-o-dasht meñ faryād-o-nāla kyā kartā

    hikāyat-e-ġham-e-duniyā ko chāhiye daftar

    varaq varaq mire dil risāla kyā kartā

    maiñ tishna kaam tire mai-kade se lauT aayā

    kisī ke naam le kar pyāla kyā kartā

    rah-e-junun mein KHuda ka hawala kya karta

    ye KHizr ranj-e-safar ka izala kya karta

    guzarni thi tere hijr ki pahaD si raat

    main tar-e-resham-o-zar ka do-shaala kya karta

    na shaghl-e-KHara-tarashi na karobar-e-junun

    main koh-o-dasht mein faryaad-o-nala kya karta

    hikayat-e-gham-e-duniya ko chahiye daftar

    waraq waraq mere dil ka risala kya karta

    main tishna kaam tere mai-kade se lauT aaya

    kisi ke nam ka le kar pyala kya karta

    Source:

    auraq salnama magazines (Pg. 493)

    • Author: Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
      • Edition: 1967
      • Publisher: Daftar Mahnama Auraq Lahore
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now