Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah gaya par wo tere chaak garebanon ka

Riyaz Khairabadi

rah gaya par wo tere chaak garebanon ka

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    rah gayā par vo tire chaak garebānoñ

    hashr meñ koī bhī pursāñ nahīñ dīvānoñ

    raah chalte huī hai daulat-e-dīdār nasīb

    is meñ ehsān nahīñ aap ke darbānoñ

    yaad aatī haiñ junūñ-ḳhez havā.eñ un

    ab na vo ham haiñ na aalam vo bayābānoñ

    are dīvāne zarā chal ke unheñ dekh to le

    mai-kadoñ meñ hai mazā shaiḳh parī-ḳhānoñ

    but ḳhudā huuñ ki na huuñ hai magar itnī tauqīr

    but-kada aaj bhī ka.aba hai musalmānoñ

    chashm-e-sāqī tarah hai asar-andāz ai shaiḳh

    ba.ad tauba ke chhalaknā bhare paimānoñ

    chuTkiyāñ aap na leñ mehñdī lage hāthoñ se

    kaam deñge na ye nāḳhun kabhī paikānoñ

    qaht jaa.e bhī magar ye nahīñ jaane ke 'riyāz'

    ki mire ghar hai ijāra mire mehmānoñ

    rah gaya par wo tere chaak garebanon ka

    hashr mein koi bhi pursan nahin diwanon ka

    rah chalte hui hai daulat-e-didar nasib

    is mein ehsan nahin aap ke darbanon ka

    yaad aati hain junun-KHez hawaen un ki

    ab na wo hum hain na aalam wo bayabanon ka

    are diwane zara chal ke unhen dekh to le

    mai-kadon mein hai maza shaiKH pari-KHanon ka

    but KHuda hun ki na hun hai magar itni tauqir

    but-kada aaj bhi kaba hai musalmanon ka

    chashm-e-saqi ki tarah hai asar-andaz ai shaiKH

    baad tauba ke chhalakna bhare paimanon ka

    chuTkiyan aap na len mehndi lage hathon se

    kaam denge na ye naKHun kabhi paikanon ka

    qaht jae bhi magar ye nahin jaane ke 'riyaz'

    ki mere ghar hai ijara mere mehmanon ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now