Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raha ishq mein qalb-e-muztar nikal kar

Rasikh Dehlvi

raha ishq mein qalb-e-muztar nikal kar

Rasikh Dehlvi

MORE BYRasikh Dehlvi

    rahā ishq meñ qalb-e-muztar nikal kar

    taḌap kar phaḌak kar machal kar uchhal kar

    rahegā junūñ jism par ḳhaak mal kar

    sū-e-dasht jā.ūñgā kapḌe badal kar

    kabūtar ko bhejā hai sūrat badal kar

    lagā.e haiñ par roġhan-e-qāz mal kar

    nahīñ ham vo bismil ki ho jaa.eñ ThanDe

    vo thakte haiñ lāshe pe kāfūr mal kar

    kase jaao tum band-e-mahram mirī jaañ

    kahāñ jā.egā dekheñ joban nikal kar

    milī ḳhaak meñ ābrū-e-mohabbat

    Duboyā mujhe āñsūoñ ne nikal kar

    marīz-e-mohabbat vo lāġhar hai jis ko

    sañbhālā sañbhālegā Dar kar sañbhal kar

    ye kahtī hai mujh se mirī sharm-e-isyāñ

    na jā.ūñgā mulk-e-adam se nikal kar

    girah kholne deñ vo band-e-qabā

    ilāhī kahīñ merī mushkil ko hal kar

    pas-e-imtihāñ chaah tum se karūñgā

    girūñgā kuñ.eñ meñ samajh kar sañbhal kar

    uchak leñgī us but tirchhī nigāheñ

    bhavoñ se agar jā.egā bal nikal kar

    mire siine pe chhoḌ jaate haiñ paikāñ

    vo dil pher dete haiñ sūrat badal kar

    tirī bazm meñ ek ḳhush ek ġhamgīñ

    koī itr mal kar koī haath mal kar

    zahe-rashk jin meñ kamar thī kisī

    miTā deñ lakīreñ vo hāthoñ ko mal kar

    raheñ tīr-e-qātil mire dil meñ 'rāsiḳh'

    ilāhī na jaa.eñ ye pariyāñ nikal kar

    raha ishq mein qalb-e-muztar nikal kar

    taDap kar phaDak kar machal kar uchhal kar

    rahega junun jism par KHak mal kar

    su-e-dasht jaunga kapDe badal kar

    kabutar ko bheja hai surat badal kar

    lagae hain par roghan-e-qaz mal kar

    nahin hum wo bismil ki ho jaen ThanDe

    wo thakte hain lashe pe kafur mal kar

    kase jao tum band-e-mahram meri jaan

    kahan jaega dekhen joban nikal kar

    mili KHak mein aabru-e-mohabbat

    Duboya mujhe aansuon ne nikal kar

    mariz-e-mohabbat wo laghar hai jis ko

    sanbhaala sanbhaalega Dar kar sanbhal kar

    ye kahti hai mujh se meri sharm-e-isyan

    na jaunga mulk-e-adam se nikal kar

    girah kholne den wo band-e-qaba ki

    ilahi kahin meri mushkil ko hal kar

    pas-e-imtihan chah tum se karunga

    girunga kunen mein samajh kar sanbhal kar

    uchak lengi us but ki tirchhi nigahen

    bhawon se agar jaega bal nikal kar

    mere sine pe chhoD jate hain paikan

    wo dil pher dete hain surat badal kar

    teri bazm mein ek KHush ek ghamgin

    koi itr mal kar koi hath mal kar

    zahe-rashk jin mein kamar thi kisi ki

    miTa den lakiren wo hathon ko mal kar

    rahen tir-e-qatil mere dil mein 'rasiKH'

    ilahi na jaen ye pariyan nikal kar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now