Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raha jab na imkan zabt-e-fughan ka

Syed Masood Hasan Masood

raha jab na imkan zabt-e-fughan ka

Syed Masood Hasan Masood

MORE BYSyed Masood Hasan Masood

    rahā jab na imkān zabt-e-fuġhāñ

    kiyā qasd bedard ne imtihāñ

    gulistāñ meñ hai daur fasl-e-ḳhizāñ

    ajab rang hai gardish-e-āsmāñ

    huā sāmnā āfat-e-nā-gahāñ

    patā chal gayā barq ko āshiyāñ

    kaTā hashr din gila karte karte

    huā ḳhatm qissa na jaur-e-butāñ

    uThā.eñ kahāñ tak asīr-e-mohabbat

    jafā.eñ tumhārī sitam āsmāñ

    yaqīñ hai ki ahl-e-zamīñ marte marte

    na bhūleñge hargiz sitam āsmāñ

    lagāte haiñ āñkhoñ se ahl-e-basārat

    samajhte haiñ rutba tire āstāñ

    rahe kaan mushtāq bāñg-e-jaras ke

    na paayā nishāñ aaj tak kārvāñ

    khaTakte haiñ āñkhoñ meñ kyoñ chaar tinke

    tajassus hai sayyād kyoñ āshiyāñ

    tire tīra-baḳhtoñ aahoñ se zālim

    uḌegā dhuāñ ban ke rang āsmāñ

    sharīk-e-ġham-e-jāñkanī kaun hogā

    sahārā faqat hai dil-e-nā-tavāñ

    qafas hifāzat se sayyād hāsil

    nikaltā hai dam tā.ir-e-nīm-jāñ

    pashemāñ gunāhoñ se haiñ all-e-isyāñ

    bapā shor mahshar meñ hai al-amāñ

    baqā dār-e-duniyā ko 'mas.ūd' kai din

    yahāñ ḳhaak tālib huuñ nām-o-nishāñ

    raha jab na imkan zabt-e-fughan ka

    kiya qasd bedard ne imtihan ka

    gulistan mein hai daur fasl-e-KHizan ka

    ajab rang hai gardish-e-asman ka

    hua samna aafat-e-na-gahan ka

    pata chal gaya barq ko aashiyan ka

    kaTa hashr ka din gila karte karte

    hua KHatm qissa na jaur-e-butan ka

    uThaen kahan tak asir-e-mohabbat

    jafaen tumhaari sitam aasman ka

    yaqin hai ki ahl-e-zamin marte marte

    na bhulenge hargiz sitam aasman ka

    lagate hain aankhon se ahl-e-basarat

    samajhte hain rutba tere aastan ka

    rahe kan mushtaq bang-e-jaras ke

    na paya nishan aaj tak karwan ka

    khaTakte hain aankhon mein kyon chaar tinke

    tajassus hai sayyaad kyon aashiyan ka

    tere tira-baKHton ki aahon se zalim

    uDega dhuan ban ke rang aasman ka

    sharik-e-gham-e-jaankani kaun hoga

    sahaara faqat hai dil-e-na-tawan ka

    qafas ki hifazat se sayyaad hasil

    nikalta hai dam tair-e-nim-jaan ka

    pasheman gunahon se hain all-e-isyan

    bapa shor mahshar mein hai al-aman ka

    baqa dar-e-duniya ko 'masud' kai din

    yahan KHak talib hun nam-o-nishan ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now