Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raha karta hai ai dil samna har-dam musibat ka

Syed Masood Hasan Masood

raha karta hai ai dil samna har-dam musibat ka

Syed Masood Hasan Masood

MORE BYSyed Masood Hasan Masood

    rahā kartā hai ai dil sāmnā har-dam musībat

    hazār aafat ik aafat hai aa jaanā tabī.at

    yahī rasm-e-vafā hai aur yahī hāsil mohabbat

    ki ai dil shukr kiije gar mahal bhī ho shikāyat

    vo ik tum ho tumhāre muñh meñ jo aatā hai kahte ho

    vo ik ham haiñ ki ham ko Dhab nahīñ aatā shikāyat

    kisī din maut se dast-o-garebāñ karne vaalā hai

    mire siine meñ ye rah rah ke uThnā dard-e-furqat

    nigāheñ phir rahī haiñ ik jahāñ bal hai abrū par

    sar-e-mahfil chhiḌā ye zikr kis bargashta-qismat

    tire uThte ā.īne duniyā ho ga.ī vīrāñ

    abhī thā jalva-gar is meñ hasīñ ik terī sūrat

    sidhāre vo hamāre dafn sāmān hotā hai

    ajal ke aate vaqt aa gayā donoñ ruḳhsat

    kisī kamsin ye 'mas.ūd' se dil toḌ kar kahnā

    khilaunā dūsrā laao koī is shakl-o-sūrat

    raha karta hai ai dil samna har-dam musibat ka

    hazar aafat ki ek aafat hai aa jaana tabiat ka

    yahi rasm-e-wafa hai aur yahi hasil mohabbat ka

    ki ai dil shukr kije gar mahal bhi ho shikayat ka

    wo ek tum ho tumhaare munh mein jo aata hai kahte ho

    wo ek hum hain ki hum ko Dhab nahin aata shikayat ka

    kisi din maut se dast-o-gareban karne wala hai

    mere sine mein ye rah rah ke uThna dard-e-furqat ka

    nigahen phir rahi hain ek jahan ki bal hai abru par

    sar-e-mahfil chhiDa ye zikr kis bargashta-qismat ka

    tere uThte hi aaine ki duniya ho gai viran

    abhi tha jalwa-gar is mein hasin ek teri surat ka

    sidhaare wo hamare dafn ka saman hota hai

    ajal ke aate hi waqt aa gaya donon ki ruKHsat ka

    kisi kamsin ka ye 'masud' se dil toD kar kahna

    khilauna dusra lao koi is shakl-o-surat ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now