Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raha karte hain mai-KHanon mein hum pir-e-mughan ho kar

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

raha karte hain mai-KHanon mein hum pir-e-mughan ho kar

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    rahā karte haiñ mai-ḳhānoñ meñ ham pīr-e-muġhāñ ho kar

    tabī.at zinda-dil rakhtī hai piirī meñ javāñ ho kar

    chhupe the qabr meñ gardish-zada kyā shādmāñ ho kar

    yahāñ bhī saath hai daurān-e-sarkā āsmāñ ho kar

    huā hai shohra dāġhoñ nisār-e-gul-ruḳhāñ ho kar

    uḌī bū-e-vafā merī nasīm-e-bostāñ ho kar

    jhukegī rafta rafta shāḳh-e-naḳhl-e-qad kamāñ ho kar

    khiñchegā tuul furqat zah-e-tīr-e-fuġhāñ ho kar

    mushābah kar diyā kyuuñ zo.af ne un nazākat se

    mujhe ḳhud apne uupar rashk aayā nā-tavāñ ho kar

    ga.ī raunaq bhī chehre havās-o-aql jaate haiñ

    uḌā sab rañg-e-ruḳh vahshat meñ gard-e-kārvāñ ho kar

    zamīñ par sozish-e-ġham se giregā āsmāñ jal kar

    sharār-e-dil chalā sar halqa-e-daur-e-fuġhāñ ho kar

    tasadduq un pe hotā huuñ jo sho.ale dil se uThte haiñ

    basar kartā huuñ maiñ parvāna-e-sham-e-fuġhāñ ho kar

    fanā ho kar kahīñ miTtī hai yārab shorish-e-vahshat

    fuġhāñ kartā huuñ maiñ zanjīr-e-bāb-e-lā-makāñ ho kar

    ḳhudā samjhe hamārī āh-e-sozāñ se judā.ī meñ

    ki saarī dil tāqat uḌ ga.ī muñh se dhuāñ ho kar

    dil-e-nālāñ ne ham-sāyoñ ko bhī dushman kiyā apnā

    rahā karte haiñ ham battīs dāñtoñ meñ zabāñ ho kar

    hamesha se 'nazar' ham mahv-e-yād-e-rū-e-raushan haiñ

    chamak is dard rassī se ham dil meñ nūr-e-jāñ ho kar

    raha karte hain mai-KHanon mein hum pir-e-mughan ho kar

    tabiat zinda-dil rakhti hai piri mein jawan ho kar

    chhupe the qabr mein gardish-zada kya shadman ho kar

    yahan bhi sath hai dauran-e-sarka aasman ho kar

    hua hai shohra daghon ka nisar-e-gul-ruKHan ho kar

    uDi bu-e-wafa meri nasim-e-bostan ho kar

    jhukegi rafta rafta shaKH-e-naKHl-e-qad kaman ho kar

    khinchega tul furqat ka zah-e-tir-e-fughan ho kar

    mushabah kar diya kyun zoaf ne un ki nazakat se

    mujhe KHud apne upar rashk aaya na-tawan ho kar

    gai raunaq bhi chehre ki hawas-o-aql jate hain

    uDa sab rang-e-ruKH wahshat mein gard-e-karwan ho kar

    zamin par sozish-e-gham se girega aasman jal kar

    sharar-e-dil chala sar halqa-e-daur-e-fughan ho kar

    tasadduq un pe hota hun jo shoale dil se uThte hain

    basar karta hun main parwana-e-sham-e-fughan ho kar

    fana ho kar kahin miTti hai yarab shorish-e-wahshat

    fughan karta hun main zanjir-e-bab-e-la-makan ho kar

    KHuda samjhe hamari aah-e-sozan se judai mein

    ki sari dil ki taqat uD gai munh se dhuan ho kar

    dil-e-nalan ne ham-sayon ko bhi dushman kiya apna

    raha karte hain hum battis danton mein zaban ho kar

    hamesha se 'nazar' hum mahw-e-yaad-e-ru-e-raushan hain

    chamak is dard ki rassi se hum dil mein nur-e-jaan ho kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now