Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahbar bhi kare kya koi dawa mere aage

Sayyed Riyaz Raheem

rahbar bhi kare kya koi dawa mere aage

Sayyed Riyaz Raheem

MORE BYSayyed Riyaz Raheem

    rahbar bhī kare kyā koī da.avā mire aage

    ban jaatā hai jañgal meñ bhī rasta mire aage

    maiñ tujh ko sameTūñ yahī koshish rahī har dam

    itnā na bikhar ai mirī duniyā mire aage

    terī tarah maiñ ne luTāyā hai sabhī kuchh

    sharminda na kar haath na phailā mire aage

    kal tak jo bharam thā vo bharam TuuT gayā hai

    shaitān hai koī na farishta mire aage

    parbat tarah vaqt ke siine meñ gaḌā huuñ

    chaltā nahīñ zor havā mire aage

    maiñ ne tujhe anjām se āgāh kiyā thā

    achchhā nahīñ terā ye taḌapnā mire aage

    sahrā musāfir huuñ maiñ ma.alūm hai tujh ko

    kyoñ rakhtā hai shahr naqsha mire aage

    bīmār na paḌ jā.ūñ maiñ is baat Dar hai

    bantā hai har ik shaḳhs masīhā mire aage

    duniyā ye da.avā hai ki sab saath haiñ mere

    aa jaatī hai har baar tanhā mire aage

    rahbar bhi kare kya koi dawa mere aage

    ban jata hai jangal mein bhi rasta mere aage

    main tujh ko sameTun yahi koshish rahi har dam

    itna na bikhar ai meri duniya mere aage

    teri hi tarah main ne luTaya hai sabhi kuchh

    sharminda na kar hath na phaila mere aage

    kal tak jo bharam tha wo bharam TuT gaya hai

    shaitan hai koi na farishta mere aage

    parbat ki tarah waqt ke sine mein gaDa hun

    chalta hi nahin zor hawa ka mere aage

    main ne tujhe anjam se aagah kiya tha

    achchha nahin tera ye taDapna mere aage

    sahra ka musafir hun main malum hai tujh ko

    kyon rakhta hai tu shahr ka naqsha mere aage

    bimar na paD jaun main is baat ka Dar hai

    banta hai har ek shaKHs masiha mere aage

    duniya ka ye dawa hai ki sab sath hain mere

    aa jati hai har bar hi tanha mere aage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now