Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahe KHiram salamat nadi ke dhaaron ka

Umang Bali

rahe KHiram salamat nadi ke dhaaron ka

Umang Bali

MORE BYUmang Bali

    rahe ḳhirām salāmat nadī ke dhāroñ

    nikal na jaa.e kahīñ dam magar kināroñ

    thā iztirāb-o-tamannā-e-dīd gul karam

    bahut kaThin thā safar varna ḳhārzāroñ

    satā rahī hai dil-e-shab ko kal ke chāñd yaad

    uḌā uḌā hai kuchh aaj rañg tāroñ

    jo ḳhush hai ek to us vafā ke charche haiñ

    dukhā.e dil vo jahāñ meñ bhale hazāroñ

    yahī hai lutf to phir jaur kis ko kahte haiñ

    na samjhā koī bhī matlab tire ishāroñ

    tan-e-barahna ho jaise libās muhtāj

    huā hai sher bhī marhūn isti'āroñ

    use to husn hurmat paas thā itnā

    ki kā.enāt mu'ammā hai parda-dāroñ

    ho ibtilā se jahāñ 'āshiqī paimā.ish

    to kyā ajab ho vahāñ josh be-qarāroñ

    rahe KHiram salamat nadi ke dhaaron ka

    nikal na jae kahin dam magar kinaron ka

    tha iztirab-o-tamanna-e-did gul ka karam

    bahut kaThin tha safar warna KHarzaron ka

    sata rahi hai dil-e-shab ko kal ke chand ki yaad

    uDa uDa sa hai kuchh aaj rang taron ka

    jo KHush hai ek to us ki wafa ke charche hain

    dukhae dil wo jahan mein bhale hazaron ka

    yahi hai lutf to phir jaur kis ko kahte hain

    na samjha koi bhi matlab tere ishaaron ka

    tan-e-barahna ho jaise libas ka muhtaj

    hua hai sher bhi marhun isti'aron ka

    use to husn ki hurmat ka pas tha itna

    ki kaenat mu'amma hai parda-daron ka

    ho ibtila se jahan 'ashiqi ki paimaish

    to kya ajab ho wahan josh be-qararon ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now