Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahe nau-roz ishrat-afrin josh-e-bahaar-afza

Mah Laqa Chanda

rahe nau-roz ishrat-afrin josh-e-bahaar-afza

Mah Laqa Chanda

MORE BYMah Laqa Chanda

    rahe nau-roz ishrat-āfrīñ josh-e-bahār-afzā

    gul-afshāñ hai karam terā chaman meñ dahr ke har

    na pūchho koī aish-o-ḳhurramī ko ahd meñ us ke

    ki jis ke faiz se ghar ghar hai daur-e-sāġhar-e-sahbā

    arastū-jāh vo farruḳh-nazhād-e-ahl-e-ālam hai

    ki jis ke fazl-o-baḳhshish jahāñ meñ hai alam barpā

    duā hai ye mavālī tasadduq se a.imma ke

    rakhe saa.e meñ apne lutf ke tujh ko alī maulā

    nahīñ kuchh zeb ai mehr-e-sip.har-e-ma'adalat is meñ

    ayaañ 'chandā' pe jo kuchh hai navāzish ye karam-farmā

    rahe nau-roz ishrat-afrin josh-e-bahaar-afza

    gul-afshan hai karam tera chaman mein dahr ke har ja

    na puchho koi aish-o-KHurrami ko ahd mein us ke

    ki jis ke faiz se ghar ghar hai daur-e-saghar-e-sahba

    arastu-jah wo farruKH-nazhad-e-ahl-e-alam hai

    ki jis ke fazl-o-baKHshish ka jahan mein hai alam barpa

    dua hai ye mawali ki tasadduq se aimma ke

    rakhe sae mein apne lutf ke tujh ko ali maula

    nahin kuchh zeb ai mehr-e-siphar-e-ma'adalat is mein

    ayan 'chanda' pe jo kuchh hai nawazish ye karam-farma

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    rahe nau-roz ishrat-afrin josh-e-bahaar-afza Azra Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now