Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahe qaem mera culture mera iman zaban meri

Bulbul Kashmiri

rahe qaem mera culture mera iman zaban meri

Bulbul Kashmiri

MORE BYBulbul Kashmiri

    rahe qaa.em mirā culture mirā īmāñ zabāñ merī

    na ho gum qulqul-e-mīnā-e-maġhrib meñ azaañ merī

    mohabbat meñ bhalā kyā kaam ātīñ dhamkiyāñ merī

    hasīnoñ ne pakaḌ kar toḌ haiñ pasliyāñ merī

    mazā jab hai ki ik qabr meñ hoñ dafn ham donoñ

    vo kyā marnā vahāñ terī lahad ho aur yahāñ merī

    kitchen meñ toḌ kar anDe sitam toḌā hai ye kah kar

    safedī aap hai aur saarī zardiyāñ merī

    sunā hai ik balā-e-nā-gahāñ rocket meñ utregī

    nazar us vāste rahtī hai sū-e-asmāñ merī

    kahā gorī ne kursī par adab se baiThnā sīkho

    nigoḌe toḌ diiñ do din meñ saarī kursiyāñ merī

    lifāfe meñ chhachhūñdar band karke ab maiñ bhejūñgā

    paḌhā kartā hai chiTThī khol kar chiTThī-rasāñ merī

    kahā biivī ne shauhar se ki bachchoñ ḳhabar rakhnā

    chalo daftar chalī maiñ mujh ko denā jūtiyāñ merī

    bahār aane pe bulbul dekhnā jashn-e-bahārāñ meñ

    qafas meñ nāchtī hoñgī qafas titliyāñ merī

    mirī mauj-e-suḳhan 'bulbul' kahīñ dariyā na ban jaa.e

    bahut rokā pa ruktī nahīñ tab-e-ravāñ merī

    rahe qaem mera culture mera iman zaban meri

    na ho gum qulqul-e-mina-e-maghrib mein azan meri

    mohabbat mein bhala kya kaam aatin dhamkiyan meri

    hasinon ne pakaD kar toD di hain pasliyan meri

    maza jab hai ki ek hi qabr mein hon dafn hum donon

    wo kya marna wahan teri lahad ho aur yahan meri

    kitchen mein toD kar anDe sitam toDa hai ye kah kar

    safedi aap ki hai aur sari zardiyan meri

    suna hai ek bala-e-na-gahan rocket mein utregi

    nazar us waste rahti hai su-e-asman meri

    kaha gori ne kursi par adab se baiThna sikho

    nigoDe toD din do din mein sari kursiyan meri

    lifafe mein chhachhundar band karke ab main bhejunga

    paDha karta hai chiTThi khol kar chiTThi-rasan meri

    kaha biwi ne shauhar se ki bachchon ki KHabar rakhna

    chalo daftar chali main mujh ko dena jutiyan meri

    bahaar aane pe bulbul dekhna jashn-e-bahaaran mein

    qafas mein nachti hongi qafas ki titliyan meri

    meri mauj-e-suKHan 'bulbul' kahin dariya na ban jae

    bahut roka pa rukti hi nahin tab-e-rawan meri

    Source:

    Khanda-e-Gul (Pg. 137)

    • Author: Bulbul Kashmiri
      • Publisher: Idara-e-Frogh-e-Urdu, Lahore
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now