Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahmat ban ke utri thi kyon zahmat ban gai beTi

Sameena Aslam Sameena

rahmat ban ke utri thi kyon zahmat ban gai beTi

Sameena Aslam Sameena

MORE BYSameena Aslam Sameena

    rahmat ban ke utrī thī kyoñ zahmat ban ga.ī beTī

    merā jurm-e-gunah batlā do pūchhtī rah ga.ī beTī

    baḌhtī huī takrār jahez aur ġhurbat bojh

    apne aap ko aag lagā ke phir ik mar ga.ī beTī

    bāġhī nā-farmān banī aur kabhī kalañk Tiika

    haq ḳhātir jab bhī kisī usuul pe aḌ ga.ī beTī

    ye laḌkī kamzor laḌkī mariyam bhī hai zohra bhī

    rābiya-basrī banī to phir valiyoñ se baḌh ga.ī beTī

    rahmat ban ke utri thi kyon zahmat ban gai beTi

    mera jurm-e-gunah batla do puchhti rah gai beTi

    baDhti hui takrar jahez ki aur ghurbat ka bojh

    apne aap ko aag laga ke phir ek mar gai beTi

    baghi na-farman bani aur kabhi kalank ka Tika

    haq ki KHatir jab bhi kisi usul pe aD gai beTi

    ye laDki kamzor si laDki mariyam bhi hai zohra bhi

    rabiya-basri bani to phir waliyon se baDh gai beTi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now