Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahna har dam bujha bujha sa kuchh

Rasa Chughtai

rahna har dam bujha bujha sa kuchh

Rasa Chughtai

MORE BYRasa Chughtai

    rahnā har dam bujhā bujhā kuchh

    ho gayā dil mashġhala kuchh

    terī zulfoñ merī vahshat

    miltā-jultā hai silsila kuchh

    ham se milne ko ik zamāna milā

    terā milnā thā sāneha kuchh

    aisā ujḌā sanam-kada dil

    ho gayā ḳhāna-e-ḳhudā kuchh

    dil ke sahrā meñ aa nikaltā hai

    ab bhī koī gurez-pā kuchh

    lutf-e-dīvāngī nahīñ aayā

    bazm meñ log the shanāsā kuchh

    rahna har dam bujha bujha sa kuchh

    ho gaya dil ka mashghala sa kuchh

    teri zulfon ka meri wahshat ka

    milta-julta hai silsila sa kuchh

    hum se milne ko ek zamana mila

    tera milna tha saneha sa kuchh

    aisa ujDa sanam-kada dil ka

    ho gaya KHana-e-KHuda sa kuchh

    dil ke sahra mein aa nikalta hai

    ab bhi koi gurez-pa sa kuchh

    lutf-e-diwangi nahin aaya

    bazm mein log the shanasa kuchh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now