Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahne ko sirf jism tha zer-e-zamin raha

Taruna Mishra

rahne ko sirf jism tha zer-e-zamin raha

Taruna Mishra

MORE BYTaruna Mishra

    rahne ko sirf jism thā zer-e-zamīñ rahā

    jo kuchh thā mere paas yahāñ yahīñ rahā

    logoñ kyā hai un ravayya yahī to hai

    aisā nahīñ rahā kabhī vaisā nahīñ rahā

    ho mushkiloñ daur ki ḳhushiyoñ silsila

    har haal meñ mujhe to usī par yaqīñ rahā

    dil meñ rah ga.ī hai talab us ke diid

    parda-nashīñ to aaj bhī parda-nashīñ rahā

    us ko baḌā ġhurūr thā mastāna chaal par

    Thokar lagī phir aisī kahīñ nahīñ rahā

    āvārgī ne saath nahīñ chhoḌā umr-bhar

    maiñ aur merā zehn kahīñ dil kahīñ rahā

    jitnī kahāniyāñ thiiñ faqat rāstoñ thiiñ

    manzil pe aa ke lutf baaqī nahīñ rahā

    milne aas āḳhirī-dam tak banī rahī

    be-jān jism thā mirā zinda yaqīñ rahā

    rahne ko sirf jism tha zer-e-zamin raha

    jo kuchh tha mere pas yahan ka yahin raha

    logon ka kya hai un ka rawayya yahi to hai

    aisa nahin raha kabhi waisa nahin raha

    ho mushkilon ka daur ki KHushiyon ka silsila

    har haal mein mujhe to usi par yaqin raha

    dil mein hi rah gai hai talab us ke did ki

    parda-nashin to aaj bhi parda-nashin raha

    us ko baDa ghurur tha mastana chaal par

    Thokar lagi phir aisi kahin ka nahin raha

    aawargi ne sath nahin chhoDa umr-bhar

    main aur mera zehn kahin dil kahin raha

    jitni kahaniyan thin faqat raston ki thin

    manzil pe aa ke lutf hi baqi nahin raha

    milne ki aas aaKHiri-dam tak bani rahi

    be-jaan jism tha mera zinda yaqin raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now