rahta hai mere dil se wo aisa laga hua
rahtā hai mere dil se vo aisā lagā huā
ḳhālī makāñ pe jaise ho taalā lagā huā
nuqsān sau tarah ke uThāne paḌe mujhe
ye kaise kārobār meñ dil thā lagā huā
āñkheñ jo mūñdiye to añdherā hai kis qadar
bāhar to raushnī kā hai mela lagā huā
kahte haiñ log ab jise sahrā sukūt kā
bahtā thā mere ghar se vo dariyā lagā huā
aayā jo hosh sāmne banjar zamīn thī
samjhe ye the hai baaġh phaloñ kā lagā huā
rahzan ho rāhbar ho ki dushman ho dost ho
lagtā hai sab ke chehre pe chehra lagā huā
'razzāqī' ab na Tāliye fursat pe koī kaam
tā-'umr ye rahegā jhamelā lagā huā
rahta hai mere dil se wo aisa laga hua
KHali makan pe jaise ho tala laga hua
nuqsan sau tarah ke uThane paDe mujhe
ye kaise karobar mein dil tha laga hua
aankhen jo mundiye to andhera hai kis qadar
bahar to raushni ka hai mela laga hua
kahte hain log ab jise sahra sukut ka
bahta tha mere ghar se wo dariya laga hua
aaya jo hosh samne banjar zamin thi
samjhe ye the hai bagh phalon ka laga hua
rahzan ho rahbar ho ki dushman ho dost ho
lagta hai sab ke chehre pe chehra laga hua
'razzaqi' ab na Taliye fursat pe koi kaam
ta-'umr ye rahega jhamela laga hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.