Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahte nahin qabu mein sar-e-rahguzar panw

Ahmar Gorakhpuri

rahte nahin qabu mein sar-e-rahguzar panw

Ahmar Gorakhpuri

MORE BYAhmar Gorakhpuri

    rahte nahīñ qaabū meñ sar-e-rāhguzar paañv

    rakhte haiñ idhar paañv to paḌte haiñ udhar paañv

    kāñdhoñ pe liye umr bosīda janāza

    jaatā hai udhar jism bhī jaate haiñ jidhar paañv

    māhaul ā.īna-e-har-ahd-e-navī hai

    jhūle meñ aa jaate haiñ bachche ke nazar paañv

    baḌh jaate haiñ kuchh aur bhī manzil ke taqāze

    kho dete haiñ jab hausla-e-azm-e-safar paañv

    pāmāl hue haiñ ka.ī sahrāoñ ke siine

    yūñhī nahīñ aate haiñ nazar ḳhāk-basar paañv

    har chand baḌhī jaatī hai lamhoñ masāfat

    thakte nahīñ baḌhte hue sadiyoñ ke magar paañv

    miltī nahīñ gar zehn ko idrāk āñkheñ

    rakhte nahīñ farsh pe mahrūm-e-basar paañv

    shahroñ tijorī kabhī detī nahīñ roTī

    khetoñ meñ pahuñchte nahīñ dahqāñ ke agar paañv

    sīdhī sahī lekin rah-e-iḳhlās pe 'ahmar'

    paḌte haiñ zamāne ke ba-andāz-e-digar paañv

    rahte nahin qabu mein sar-e-rahguzar panw

    rakhte hain idhar panw to paDte hain udhar panw

    kandhon pe liye umr ka bosida janaza

    jata hai udhar jism bhi jate hain jidhar panw

    mahaul hi aaina-e-har-ahd-e-nawi hai

    jhule hi mein aa jate hain bachche ke nazar panw

    baDh jate hain kuchh aur bhi manzil ke taqaze

    kho dete hain jab hausla-e-azm-e-safar panw

    pamal hue hain kai sahraon ke sine

    yunhi nahin aate hain nazar KHak-basar panw

    har chand baDhi jati hai lamhon ki masafat

    thakte nahin baDhte hue sadiyon ke magar panw

    milti nahin gar zehn ko idrak ki aankhen

    rakhte hi nahin farsh pe mahrum-e-basar panw

    shahron ki tijori kabhi deti nahin roTi

    kheton mein pahunchte nahin dahqan ke agar panw

    sidhi sahi lekin rah-e-iKHlas pe 'ahmar'

    paDte hain zamane ke ba-andaz-e-digar panw

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now