Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahti hai mere dil mein kisi dilruba ki yaad

Sipah Daar Khan Begun

rahti hai mere dil mein kisi dilruba ki yaad

Sipah Daar Khan Begun

MORE BYSipah Daar Khan Begun

    rahtī hai mere dil meñ kisī dilrubā yaad

    har dam mujhe satātī hai us bevafā yaad

    bil-ḳhair ḳhātma mirā hovegā hamdamo

    har-dam hai dil meñ hazrat-e-ḳhair-ul-varā yaad

    hairat mirī fuzūñ huī ā.īna dekh kar

    aa.ī mujhe kisī ke jo ruḳh par safā yaad

    ai momino jo chāho rah-e-mustaqīm ko

    har lahza rakkho dil meñ shah-e-ambiyā yaad

    dil par jo rahtā hai rah-e-pur-nūr ḳhayāl

    rahtī hai raat bhar tirī zulf-e-dotā yaad

    khaTkā nahīñ hai dil meñ mire roz-e-hashr

    rahtī hai mujh ko shāfe'-e-roz-e-jazā yaad

    rahti hai mere dil mein kisi dilruba ki yaad

    har dam mujhe satati hai us bewafa ki yaad

    bil-KHair KHatma mera howega hamdamo

    har-dam hai dil mein hazrat-e-KHair-ul-wara ki yaad

    hairat meri fuzun hui aaina dekh kar

    aai mujhe kisi ke jo ruKH par safa ki yaad

    ai momino jo chaho rah-e-mustaqim ko

    har lahza rakkho dil mein shah-e-ambiya ki yaad

    dil par jo rahta hai rah-e-pur-nur ka KHayal

    rahti hai raat bhar teri zulf-e-dota ki yaad

    khaTka nahin hai dil mein mere roz-e-hashr ka

    rahti hai mujh ko shafe'-e-roz-e-jaza ki yaad

    Source:

    Deewan-e-Begun (Pg. 13)

    • Author: Sipah Daar Khan Begun
      • Publisher: Matba Khadim-ul-Islam, Delhi
      • Year of Publication: 1890
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now