Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rakhta hun talai rang aur ashk bhi moti hai

Ishq Aurangabadi

rakhta hun talai rang aur ashk bhi moti hai

Ishq Aurangabadi

MORE BYIshq Aurangabadi

    rakhtā huuñ talā.ī rañg aur ashk bhī motī hai

    mun.im ke bhī ghar āḳhir daulat yahī hotī hai

    sumbul pareshānī kab kam thī ki phir tis par

    shabnam jo sarishk us ke mizhgāñ meñ pirotī hai

    aalī se maiñ pūchhā kyā vāqi.a yaañ guzrā

    gul chāk-garebāñ hai shabnam hai ki rotī hai

    dam sard vo bhar kar ye mujh se lagā kahne

    har sub.h gulistāñ hālat yahī hotī hai

    'ishq' apnī fanā ḳhauf sarkash ke nahīñ dil meñ

    kab sham.a ye hai raushan jo sub.h bhī hotī hai

    rakhta hun talai rang aur ashk bhi moti hai

    munim ke bhi ghar aaKHir daulat yahi hoti hai

    sumbul ki pareshani kab kam thi ki phir tis par

    shabnam jo sarishk us ke mizhgan mein piroti hai

    aali se main ja puchha kya waqia yan guzra

    gul chaak-gareban hai shabnam hai ki roti hai

    dam sard hi wo bhar kar ye mujh se laga kahne

    har subh gulistan ki haalat yahi hoti hai

    'ishq' apni fana ka KHauf sarkash ke nahin dil mein

    kab shama ye hai raushan jo subh bhi hoti hai

    Source:

    Deewan-e-Ishq(Rekhta Website) (Pg. 88)

      • Publisher: Idara-e-Adabiyat-e-Urdu, Hyderabad
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now