rakkhi hai mulaqat kisi din pe uTha kar
rakkhī hai mulāqāt kisī din pe uThā kar
bhejī hai munājāt so ai yaar du'ā kar
sūkhe haiñ ka.ī phuul magar vā'da-e-yārāñ
rakhtā hai mirī mez pe guldān sajā kar
kyā us ke ḳhayālāt kī tafsīl ho mujh se
jaatā hai koī baat jo kānoñ meñ batā kar
kar mujh se mulāqāt mirī der ke mehmāñ
jaldī se kisī shaam charāġhoñ ko bujhā kar
bāzār ke bāzār yahāñ us ke liye haiñ
qīmat jo baḌhātā hai ḳharīdār ghaTā kar
rakkhi hai mulaqat kisi din pe uTha kar
bheji hai munajat so ai yar du'a kar
sukhe hain kai phul magar wa'da-e-yaran
rakhta hai meri mez pe guldan saja kar
kya us ke KHayalat ki tafsil ho mujh se
jata hai koi baat jo kanon mein bata kar
kar mujh se mulaqat meri der ke mehman
jaldi se kisi sham charaghon ko bujha kar
bazar ke bazar yahan us ke liye hain
qimat jo baDhata hai KHaridar ghaTa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.