Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rakkhi hargiz na tere ruKH ne ruKH-e-badr ki qadr

Nazeer Akbarabadi

rakkhi hargiz na tere ruKH ne ruKH-e-badr ki qadr

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    rakkhī hargiz na tire ruḳh ne ruḳh-e-badr qadr

    khoī kākul ne bhī āḳhir ko shab-e-qadr qadr

    izzat-o-qadr us gul se tavaqqo.a hai abas

    vaañ na izzat kuchh izzat hai na kuchh qadr qadr

    rāstī ḳhvār hai us chashm-e-fusūñ-parvar se

    haañ magar manzilat-e-makr hai aur ġhadr qadr

    mai-parastoñ meñ hai yuuñ sāġhar-o-mīnā vaqār

    jaise islām meñ ho mohtasib o sadr qadr

    kafsh-bardārī se us mahr chamkā hai 'nazīr'

    varna kyā ḳhaak thī is zarra-e-be-qadr qadr

    rakkhi hargiz na tere ruKH ne ruKH-e-badr ki qadr

    khoi kakul ne bhi aaKHir ko shab-e-qadr ki qadr

    izzat-o-qadr ki us gul se tawaqqoa hai abas

    wan na izzat ki kuchh izzat hai na kuchh qadr ki qadr

    rasti KHwar hai us chashm-e-fusun-parwar se

    han magar manzilat-e-makr hai aur ghadr ki qadr

    mai-paraston mein hai yun saghar-o-mina ka waqar

    jaise islam mein ho mohtasib o sadr ki qadr

    kafsh-bardari se us mahr ki chamka hai 'nazir'

    warna kya KHak thi is zarra-e-be-qadr ki qadr

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 85(198))

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now