Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang aur rup mein sone se khari hoti hai

Fazl Lakhnavi

rang aur rup mein sone se khari hoti hai

Fazl Lakhnavi

MORE BYFazl Lakhnavi

    rañg aur ruup meñ sone se kharī hotī hai

    dil vo rag jo mohabbat se bharī hotī hai

    āshiyāne ko panapne nahīñ detī duniyā

    barq gir paḌtī hai jab shāḳh harī hotī hai

    jheñp jaatā hai chaTaktī huī kaliyoñ shabāb

    mast āñkhoñ meñ agar niiñd bharī hotī hai

    ashk barsātī huī aatī hai gulshan meñ bahār

    phuul khilte haiñ to shabnam tarī hotī hai

    arsh-o-kursī-o-falak dair-o-haram ka.aba-e-dil

    phir bhī mahdūd tirī jalvagarī hotī hai

    kahkashāñ dekhtī hai us tajallī nikhār

    jis añgḌā.ī meñ jādū-asarī hotī hai

    din ko gar dhuup chādar meñ sukūñ miltā hai

    raat ab ḳhatm charāġh-e-saharī hotī hai

    yaad aa jaatī hai ḳhud apnī nikhartī tauba

    jaam meñ jab mai-e-ḳhush-rañg bharī hotī hai

    chāhe lafzoñ meñ kahe chāhe ishāroñ se kahe

    'fazl' jo baat bhī kahtā hai kharī hotī hai

    rang aur rup mein sone se khari hoti hai

    dil ki wo rag jo mohabbat se bhari hoti hai

    aashiyane ko panapne nahin deti duniya

    barq gir paDti hai jab shaKH hari hoti hai

    jhenp jata hai chaTakti hui kaliyon ka shabab

    mast aankhon mein agar nind bhari hoti hai

    ashk barsati hui aati hai gulshan mein bahaar

    phul khilte hain to shabnam ki tari hoti hai

    arsh-o-kursi-o-falak dair-o-haram kaba-e-dil

    phir bhi mahdud teri jalwagari hoti hai

    kahkashan dekhti hai us ki tajalli ka nikhaar

    jis ki angDai mein jadu-asari hoti hai

    din ko gar dhup ki chadar mein sukun milta hai

    raat ab KHatm charagh-e-sahari hoti hai

    yaad aa jati hai KHud apni nikharti tauba

    jam mein jab mai-e-KHush-rang bhari hoti hai

    chahe lafzon mein kahe chahe ishaaron se kahe

    'fazl' jo baat bhi kahta hai khari hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now