Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang-e-shafaq bas husn-e-nazar ho ye bhi to ho sakta hai

Moazzam Ali Khan

rang-e-shafaq bas husn-e-nazar ho ye bhi to ho sakta hai

Moazzam Ali Khan

MORE BYMoazzam Ali Khan

    rang-e-shafaq bas husn-e-nazar ho ye bhī to ho saktā hai

    shaam chehra ḳhuun se tar ho ye bhī to ho saktā hai

    ek chamaktī shai ko āḳhir tum aañsū kyoñ samjhe ho

    dast-e-ḳhudī meñ koī guhar ho ye bhī to ho saktā hai

    sab kahte haiñ kho kar us ko khoyā khoyā rahtā huuñ

    us tasavvur ḳhvāb-asar ho ye bhī to ho saktā hai

    jehd-e-musalsal ke matavālo duur dhueñ Tiila

    koī sāya-dār shajar ho ye bhī to ho saktā hai

    rāh-e-vafā meñ chalte chalte saath kahīñ vo chhoḌ na de

    us ko bhī is baat Dar ho ye bhī to ho saktā hai

    mumkin hai vo jugnū hoñ jo jalte aur bujhte haiñ

    tārīkī meñ raqs-e-sharar ho ye bhī to ho saktā hai

    mushkil hai andāza lagānā sheroñ se shaḳhsiyyat

    rang-e-'muazzam' sirf hunar ho ye bhī to ho saktā hai

    rang-e-shafaq bas husn-e-nazar ho ye bhi to ho sakta hai

    sham ka chehra KHun se tar ho ye bhi to ho sakta hai

    ek chamakti shai ko aaKHir tum aansu kyon samjhe ho

    dast-e-KHudi mein koi guhar ho ye bhi to ho sakta hai

    sab kahte hain kho kar us ko khoya khoya rahta hun

    us ka tasawwur KHwab-asar ho ye bhi to ho sakta hai

    jehd-e-musalsal ke matawalo dur dhuen ka Tila sa

    koi saya-dar shajar ho ye bhi to ho sakta hai

    rah-e-wafa mein chalte chalte sath kahin wo chhoD na de

    us ko bhi is baat ka Dar ho ye bhi to ho sakta hai

    mumkin hai wo jugnu hi hon jo jalte aur bujhte hain

    tariki mein raqs-e-sharar ho ye bhi to ho sakta hai

    mushkil hai andaza lagana sheron se shaKHsiyyat ka

    rang-e-'muazzam' sirf hunar ho ye bhi to ho sakta hai

    Source:

    Harf-e-Aainda (Pg. 64)

    • Author: Moazzam Ali Khan
      • Publisher: Moazzam Ali Khan
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now