Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang kahan hai saya sa hai

Azeem Quraishi

rang kahan hai saya sa hai

Azeem Quraishi

MORE BYAzeem Quraishi

    rañg kahāñ hai saayā hai

    naqsh kahāñ hai dhokā hai

    sub.h rañgat zardī-mā.il

    shaam nahīñ hai dhaḌkā hai

    dil ḳhuun huā ho shāyad

    duur pare jo kohrā hai

    sail-e-ishq thamā kab hogā

    dariyā hai aur chaḌhtā hai

    lab us ke jo khulte dekhe

    ek jahāñ kuchh hañstā hai

    asl meñ naqsh-e-kaif-e-hastī

    faanī hai miTtā hai

    husn aur ishq haiñ donoñ kāfir

    donoñ meñ ik jhagḌā hai

    aao pyaar se dho leñ us ko

    naqsh-e-jahāñ kuchh mailā hai

    rang kahan hai saya sa hai

    naqsh kahan hai dhoka sa hai

    subh ki rangat zardi-mail

    sham nahin hai dhaDka sa hai

    dil ka KHun hua ho shayad

    dur pare jo kohra sa hai

    sail-e-ishq thama kab hoga

    dariya hai aur chaDhta sa hai

    lab us ke jo khulte dekhe

    ek jahan kuchh hansta sa hai

    asl mein naqsh-e-kaif-e-hasti

    fani sa hai miTta sa hai

    husn aur ishq hain donon kafir

    donon mein ek jhagDa sa hai

    aao pyar se dho len us ko

    naqsh-e-jahan kuchh maila sa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now